Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Dar e Zahra Jalaya Ja Raha Hai

Mesum Abbas

2026Urdu
2026UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Dar-e-Zahra Jalaya Ja Raha Hai is an Ayyam-e-Fatimiyah 2026 noha recited by Mesum Abbas and written by Mazher Abidi. Its verses mourn Sayyida Fatima Zahra and depict the grief of the Ahlulbayt through the refrain 'Ye Pehli Karbala Hai.' Read the Roman Urdu verses, Urdu text and line-aligned English meaning.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Dar e Zahra Jalaya Ja Raha Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Dar e Zahra Jalaya Ja Raha Hai

Dar e Zahra Jalaya Ja Raha Hai

Mesum Abbas

YouTube loads when you open Listen.

Dar e Zahra Jalaya Ja Raha Hai

Mesum Abbas

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Jaise jale Shabbir ke khaime waise Dar-e-Zahra
Kyun na karein phir Ahl-e-Aza har majlis mein noha

Dar-e-Zahra jalaya ja raha hai
Ye pehli Karbala hai
Nabi ka dil dukhaya ja raha hai

Nabi tazeem mein jiski khade hon
Laqab Allah ne jisko diye hon
Woh jiski betiyan hon Shahzadi
Pisar Hasnain se jisko mile hon
Use kitna sataya ja raha hai
Ye pehli Karbala hai

Nabi ke baad ye aaya zamana
Museebat mein hai Zahra ka gharana
Koi kehta hai darwaza jala do
Koi dikhla raha hai taziyana
Ye jo manzar dikhaya ja raha hai
Ye pehli Karbala hai

Sabhi qasmein sabhi waade bhula ke
Ali ko ghar mein hi qaidi bana ke
Sar-e-darbar Zahra ko bula ke
Pisar ke saamne durre laga ke
Tamacha bhi lagaya ja raha hai
Ye pehli Karbala hai

Jafakaron ka ye sardar bola
Ali ko ghar se bahar lao Zahra
Agar baiat nahi karte hamari
Jala denge abhi hum ghar tumhara
Sitam Zahra pe dhaya ja raha hai
Ye pehli Karbala hai

Hirasaan hain haram mahv-e-buka hain
Pisar bhi maa ke gham mein mubtala hain
Laeen achhi tarah ye jaante hain
Ke darwaze ke peechhe Sayyida hain
Tabhi to dar giraya ja raha hai
Ye pehli Karbala hai

Gira jalta hua dar pasliyon par
Juda maa se hua Mohsin gul-e-tar
Shikasta kar diya Zahra ka pehlu
Kaha Zahra ne zakhmi haath utha kar
Lahoo mera bahaya ja raha hai
Ye pehli Karbala hai

Yahi hai Mesum-o-Mazhar ka noha
Sitam is se bada kya aur hoga
Woh Bibi paak woh Umm-e-Abiha
Khuda ne jisko Siddiqa kaha tha
Use jhoota banaya ja raha hai
Ye pehli Karbala hai

Ya Zahra (sa)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Imam Ali, Prophet Muhammad, Imam Hasan, Imam Hussain
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.