Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Fatima Hai Fatima

Shahid Baltistani

2020Urdu
2020Urdu
Fatima Hai Fatima is a 2020 Urdu Manqabat recited by Shahid Baltistani, with poetry by Mir Takallum. It celebrates the spiritual virtues and exalted position of Bibi Fatima Zahra (SA), her relationship with Prophet Muhammad (SAWW), and her connection to Imam Hasan, Imam Hussain, Hurr and Imam Mahdi (ATFS).Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2020
Original
Urdu

Lyrics

Fatima Hai Fatima Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Fatima Hai Fatima

Fatima Hai Fatima

Shahid Baltistani

YouTube loads when you open Listen.

Fatima Hai Fatima

Shahid Baltistani

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Fatima
Fatima
Fatima, haaye Fatima
Fatima, haaye Fatima

Koi maane ya na maane
Fatima hai Fatima

Jiske laaiq Mustafa hain (×2)
Woh ataa hai Fatima

Do Muhammad paal kar tune diye Islam ko (×2)
Baap ne yun tujhko apni maa kaha hai Fatima

Khud ko woh Hasnain ka darzi kahega umr bhar (×2)
Aapne Rizwan ko darzi keh diya hai Fatima

Apni daadhi se safai tere dar ki raat bhar (×2)
Kaun hai jo yun tahajjud padh raha hai Fatima

Jod kar haathon ko apne Hurr ne yeh aawaaz di (×2)
Aapke haathon mein mera faisla hai Fatima

Mukhtasar Khair-un-Nisa ka bas yahi mafhoom hai (×2)
Aalam-e-niswaan ki khaatir Mustafa hai Fatima

Sehan-e-Kaaba tak bhi jaane ki na zehmat di gayi (×2)
Tujhko har beta musalle par mila hai Fatima

Mehdi-e-Dauran Takallum hai jahaan par aaj bhi (×2)
Parda-e-ghaibat nahin teri rida hai Fatima

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2020
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.