Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Bin Bhai Ke Jab Soo-e-Watan Jayegi Zainab

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Bin Bhai Ke Jab Soo-e-Watan Jayegi Zainab is an Urdu Salaam depicting the grief of Bibi Zainab (SA) after the tragedy of Karbala. The verses describe her return without Imam Hussain (AS), the suffering of Bibi Sakina (SA), her concern for Fatima Sughra (SA), and the painful memories of Ali Akbar (AS). Read all eleven couplets in Roman Urdu, Urdu and English on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original
Urdu

Lyrics

Bin Bhai Ke Jab Soo-e-Watan Jayegi Zainab Lyrics

WA

Bin Bhai Ke Jab Soo-e-Watan Jayegi Zainab
Ae Mujrai Ham-Chashmon Mein Sharmayegi Zainab

Jab Roz-e-Jaza Pesh-e-Khuda Jayegi Zainab
Jadd Ke Kalma-Goyon Ko Bakhshwayegi Zainab

Sughra Jo Kahegi Kahan Baba Hai Phuphi Jaan
Kis Tarah Se Beemar Ko Samjhayegi Zainab

Akbar Se Yeh Zainab Ne Kaha Le Ke Balayein
Tum Ran Ko Agar Jaoge Mar Jayegi Zainab

Tum Rahat-e-Jaan Noor-e-Nazar Lakht-e-Jigar Ho
Yeh Chand Si Tasveer Kahan Payegi Zainab

Bhoolegi Na Shabbir Ki Woh Tashna-Dahani
Jab Tak Jiyegi Royegi Gham Khayegi Zainab

Maqtal Mein Yeh Zainab Ne Kaha Laasha-e-Shah Se
Mahboos Ho Ke Shaam Ko Ab Jayegi Zainab

Zainab Ne Kaha Shah Se Ke Tum To Chale Bhai
Aur Thokarein Pardes Mein Ab Khayegi Zainab

Machlegi Sakina Jo Tumhare Liye Bhai
Kyun Kar Use Samjhayegi Behlayegi Zainab

Bhai Tere Laashe Ka Hai Allah Nigehbaan
Dafnayegi Jab Shaam Se Aa Jayegi Zainab

Tu Zakir Farzand-e-Shahenshah-e-Zaman Hai
Maujiz Tujhe Firdaus Mein Le Jayegi Zainab

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Arbaeen
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.