Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Ek Nanhi Si Lahad

Mir Hasan Mir

2016Urdu
2016UrduImam HussainMuharram
Ek Nanhi Si Lahad is a Salam recited by Mir Hasan Mir with poetry attributed to Mir Takallum. A poetic salam recalling Imam Hussain burying Ali Asghar and mourning the martyrs of Karbala. Explore the Roman Urdu lyrics, Urdu text, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Lyrics

Ek Nanhi Si Lahad Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ek Nanhi Si Lahad

Ek Nanhi Si Lahad

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Ek Nanhi Si Lahad

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ek nanhi si lahad ran mein banaate hain Hussain
Khaak mein doosre Mohsin ko chhupaate hain Hussain
Ek nanhi si lahad ran mein banaate hain Hussain

Daalte jaate hain Asghar ke badan par mitti ×2
Aur khaimon ki taraf dekhte jaate hain Hussain
Ek nanhi si lahad ran mein banaate hain Hussain

Marte dam nanhe se haathon ne jise thaama tha ×2
Ab woh daaman Ali Asghar se chhuraate hain Hussain
Ek nanhi si lahad ran mein banaate hain Hussain

Laash-e-Hurr ne kaha, rumaal yeh de do jaa kar ×2
Zakhm be-sheer ka haathon se chhupaate hain Hussain
Ek nanhi si lahad ran mein banaate hain Hussain

Dhoondhne aayenge is laashe ko neza-bardaar
Chhup ke Bano se yeh Zainab ko bataate hain Hussain
Ek nanhi si lahad ran mein banaate hain Hussain

Kaha Sughra ne ke mar kar to milungi Shah se ×2
Mujhko maaloom hai har qabr mein aate hain Hussain
Ek nanhi si lahad ran mein banaate hain Hussain

Laash-e-Abbas pe kehti thi yeh Zahra ro ke ×2
Utho Abbas tumhein kab se bulaate hain Hussain
Ek nanhi si lahad ran mein banaate hain Hussain

Koi Zainab ko bula laaye, Takallum, jaa kar ×2
Barchhi Akbar ke kaleje se chhuraate hain Hussain
Ek nanhi si lahad ran mein banaate hain Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.