Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Fatema Maari Gayi

Waqar Abbas

2024Urdu
2024UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Fatema Maari Gayi is a 2024 Urdu noha recited by Waqar Abbas, with poetry by Shabih Abbas Jafri. The verses mourn Sayyida Fatima Zahra, daughter of Prophet Muhammad and wife of Imam Ali, remembering her suffering and the grief of her family. Read Roman Urdu, Urdu and English lyrics.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2024
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Fatema Maari Gayi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Fatema Maari Gayi

Fatema Maari Gayi

Waqar Abbas

YouTube loads when you open Listen.

Fatema Maari Gayi

Waqar Abbas

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Rehmat-e-Alam (s) ki beti Fatema maari gayi
Zauja-e-Sher-e-Ilahi (a), Fatema maari gayi

Khuld mein noha-kunaan hai Fatema Bint-e-Asad (a)
Jo bahu Imran ki thi, Fatema maari gayi

Laash-e-madar se lipat kar keh rahe hain yeh Hussain (a)
Hai pehel Karb-o-Bala ki, Fatema maari gayi

Furqat-e-madar mein baithi hain zameen par betiyan
Ik qayamat dil pe guzri, Fatema maari gayi

Betiyon ko to dilaase de rahe hain Murtaza (a)
Kaun de unko tasalli, Fatema maari gayi

Sar patakhta hai zameen par sog mein Zahra (a) ke woh
Murtajiz ki aaqa-zaadi, Fatema maari gayi

Surah-e-Kausar ke masdar par sitam dhaaye gaye
Aaya-e-Tatheer royi, Fatema maari gayi

Ro rahe hain jisko yeh aalam ke saare momineen
Woh nishani Mustafa (s) ki, Fatema maari gayi

Fatema se badle ummat ke hue poore, Shabih
Shaam mein jab, haye, chhoti Fatema maari gayi

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2024
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad, Imam Ali, Imam Hussain, Bibi Sakina
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.