Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Tadhap Ke Roye Ali

Waqar Abbas

2026Urdu
2026UrduImam AliAyyam-e-Fatimiyah
Tadhap Ke Roye Ali is a 2026 Urdu noha recited by Waqar Abbas for Ayyam-e-Fatimiyah 1448 AH, with lyrics credited to Wila Hallauri. The verses portray Imam Ali mourning Sayyida Fatima Zahra at her grave, hiding his tears from his children and recalling her suffering. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Tadhap Ke Roye Ali Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Tadhap Ke Roye Ali

Tadhap Ke Roye Ali

Waqar Abbas

YouTube loads when you open Listen.

Tadhap Ke Roye Ali

Waqar Abbas

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Lahad pe Zahra (ع) ki aa kar tadap ke roye Ali (ع)
Ghareebi apni suna kar tadap ke roye Ali (ع)

Kaha ke ranj-o-alam ne Ali (ع) ko maar diya
Tumhaare jaane ke gham ne Ali (ع) ko maar diya
Lahad pe khud ko gira kar tadap ke roye Ali (ع)

Kabhi bhula na sakunga jo beeti hai tum par
Shikasta pehlu ne zakhmi kiya hai mera jigar
Fiza mein khaak uda kar tadap ke roye Ali (ع)

Diya na pursa, na ham se koyi kalaam kiya
Na kalma-goyon ne aa kar hamein salaam kiya
Jo gham mile hain bata kar tadap ke roye Ali (ع)

Har ek shaam-o-sahar dil ka chayn khote hue
Hasan (ع) Husain (ع) kahin dekh len na rote hue
Yun Bait-e-Huzn mein jaa kar tadap ke roye Ali (ع)

Hasan (ع) Husain (ع) ko paiham dilaase dete rahe
Na rona, Zainab (ع) o Kulsum (ع) se ye kehte rahe
Phir apne ashk chhupa kar tadap ke roye Ali (ع)

Saqifa waalon ne pehlu ko yun shikasta kiya
Asaa baghair nahin chal sakin kabhi Zahra (ع)
Asaa wo qabr pe laa kar tadap ke roye Ali (ع)

Shah-e-Wila pe mazaalim hue hain had se siwa
Magar Batool (ع) ke zakhmon ko yaad jab bhi kiya
Sab apne zakhm bhula kar tadap ke roye Ali (ع)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Composer
Farhan Sardar
Year
2026
Personalities
Imam Ali, Sayyida Fatima Zahra, Imam Hasan, Imam Hussain, Sayyida Zainab, Sayyida Umm Kulthum
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.