Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Abal Fazl

Waqar Abbas

2026Urdu
2026UrduHazrat AbbasMuharram
Ya Abal Fazl is a 2026 Urdu devotional noha recited by Waqar Abbas, with poetry by Wilayat Karbalai. The verses praise the loyalty, generosity and sacrifice of Hazrat Abbas, the standard-bearer of Imam Hussain, and express longing to visit his shrine in Karbala. Read Roman Urdu, Urdu and English lyrics.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Ya Abal Fazl Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya Abal Fazl

Ya Abal Fazl

Waqar Abbas

YouTube loads when you open Listen.

Ya Abal Fazl

Waqar Abbas

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Abul Fazl (×3)

Tujh se jo maanga hai woh mujhko mila hai Ghazi (a)
Dar-e-ata tera har ek pe khula hai Ghazi (a)
Murtaza (a) ki tu duaon ka sila hai Ghazi (a)
Sayyida (a) ne bhi tujhe beta kaha hai Ghazi (a)
Tu hai Sarwar (a) ka yaqeen
Abul Fazl (a)
Mere dil mein tu makeen
Abul Fazl (a)
Dil ko milta hai sukoon, kehta hoon jab yeh jumla

Hum museebat mein giraftaar jo ho jaate hain
Naam bas Sani-e-Haider (a) tera dohrate hain
Tere parcham ko fizaon mein jo lehrate hain
Is liye Ahl-e-Wafa sab ko nazar aate hain
Tere mohtaaj hain hum
Abul Fazl (a)
Tu hai Saqqa-e-Haram
Abul Fazl (a)
Yun hi hum par tu karam apna banaye rakhna

Naaz karte hain bahut tum pe Rasool-e-Do-Sara (s)
Deen-e-Islam pe baazu ko fida tumne kiya
Ban gaye baazu hi woh Deen-e-Muhammad (s) ki baqa
Tumko seene se lagayenge Nabi (s) Roz-e-Jaza
Bani Hashim ke Qamar
Abul Fazl (a)
Shah-e-Deen (a) ke dilbar
Abul Fazl (a)
Har wafadar pe Wallah hai lazim kehna

Alim-e-Ghaib ho, sab tumko khabar hai Maula
Dil ke halaat mere tum se nahi posheeda
Hosh jab se hai sambhala, yehi maangi hai dua
Jeete ji dekh loon aankhon se tumhara rauza
Karbala aaunga jab
Abul Fazl (a)
Yeh sharaf paaunga jab
Yeh sada dunga wahan karte hue main girya

Jahan pe haath qalam tera hua tha Ghazi (a)
Jis jagah par tera parcham hua thanda Ghazi (a)
Mashk ko teer laga tha jahan Aaqa Ghazi (a)
Jis jagah khoon baha tha tera Maula Ghazi (a)
Sab jagah jaunga main
Abul Fazl (a)
Ashk barsaunga main
Abul Fazl (a)
Sar ko peetunga musalsal wahan aur dunga sada

Roz-e-Ashoor qayamat yeh bapa kaisi hui
Aap ke jaate hi Sarwar (a) ki kamar toot gayi
Shaam-e-gham mein hui be-parda Ali (a) ki beti
Har tamache pe Sakina (a) yeh sada deti thi
Aye mere pyare Chacha
Abul Fazl (a)
Mera daaman hai jala
Abul Fazl (a)
Meri imdaad karo, koi nahi hai mera

Dukhtar-e-Shah-e-Wilayat (a) ko bana kar qaidi
Shaam ki simt chale le ke unhein Ahl-e-Shaqi
Bhai ki laash pe jab Bint-e-Ali (a) hai pahunchi
Dekh kar laash ko paamaal sada dene lagi
Tujh se waada hai mera
Abul Fazl (a)
Gham manaungi tera
Abul Fazl (a)
Laut ke aaungi jab qaid se main Karb-o-Bala

Kehte hain Ahl-e-Haram
Haye Saqqa-e-Haram (a)

Hum pe hote hain sitam
Haye Saqqa-e-Haram (a)

Zabt ho kaise yeh gham
Haye Saqqa-e-Haram (a)

Tere baazu hain qalam
Haye Saqqa-e-Haram (a)

Aye Shah-e-Deen ke bharam
Haye Saqqa-e-Haram (a)

Shaam ko jaate hain hum
Haye Saqqa-e-Haram (a)

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Personalities
Hazrat Abbas, Imam Ali, Imam Hussain, Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad, Bibi Sakina, Sayyida Zainab
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.