Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Gar Mujhko Mazar-e-Shah-e-Wala Nazar Aaye

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Gar Mujhko Mazar-e-Shah-e-Wala Nazar Aaye is an Urdu Salaam expressing longing for the shrine of Imam Hussain (AS) and remembering the sorrow of the Ahlulbayt at Karbala. Its verses reflect on Bibi Fatima Sughra (SA), Hazrat Qasim (AS), Ali Akbar (AS), Bibi Sakina (SA), and Imam Hussain's final moments. Read the lyrics in Roman Urdu, Urdu and English on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Gar Mujhko Mazar-e-Shah-e-Wala Nazar Aaye Lyrics

WA

Gar Mujhko Mazar-e-Shah-e-Wala Nazar Aaye
Ae Mujrai Firdaus Ka Naqsha Nazar Aaye

Jaana Kahoon Kya Maajra Main Aal-e-Nabi Ka
Khaimon Mein Na Utre The Ke Aada Nazar Aaye

Kehti Thin Yeh Sughra Ke Woh Kis Tarah Na Roye
Aabad Ghar Apna Jise Soona Nazar Aaye

Dulha Bane Qasim Yeh Dua Karti Thin Zainab
Akbar Ka Bhi Ya Rab Mujhe Sehra Nazar Aaye

Ammu Ko Lagi Der To Kehti Thin Sakina
Main Paani Se Guzri Mera Saqqa Nazar Aaye

Jis Baap Ka Noor-e-Nazar Akbar Sa Ho Beta
Ae Momino Munsif Ho Use Kya Nazar Aaye

Shah Kehte The Ae Shimr Jo Ho Maalik-e-Kausar
Do Din Na Use Paani Ka Qatra Nazar Aaye

Shah Ne Kaha Zainab Se Ke Kal Qatl Main Hoonga
Sar Nange Mujhe Khwab Mein Baba Nazar Aaye

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.