Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Hussain Ibne Ali Shah-e-Karbala Par Salaam

Shuja Abbas

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Hussain Ibne Ali Shah-e-Karbala Par Salaam is an Urdu salaam offering salutations to Imam Hussain (AS), Hazrat Abbas (AS), Ali Akbar (AS), Qasim (AS), Ali Asghar (AS), Bibi Zainab (SA), and the martyrs of Karbala. Its closing verses reflect on the loss of the guardian of the tents and Bibi Zainab's responsibility for the surviving caravan. Read the Roman Urdu, Urdu and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Hussain Ibne Ali Shah-e-Karbala Par Salaam Lyrics

WA

Hussain Ibne Ali Shah-e-Karbala Par Salaam
Hussain Jaan-e-Nabi, Jaan-e-Fatima Par Salaam

Salaam Bazoo-e-Abbas o Qalb-e-Akbar Par
Salaam Ho Tan-e-Qasim o Halq-e-Asghar Par
Hussain Ibne Ali Shah-e-Karbala Par Salaam

Salaam Zainab-e-Muztar Ke Dono Pyaron Par
Salaam Haider o Jafar Ke Chaand Taaron Par
Hussain Ibne Ali Shah-e-Karbala Par Salaam

Salaam Dast-e-Qayamat Ke Sab Shaheedon Par
Salaam Saat Muharram Se Bhooke-Pyason Par
Hussain Ibne Ali Shah-e-Karbala Par Salaam

Salaam Shaam-e-Ghareeban Mein Jalte Khaimon Par
Salaam Hazrat-e-Zainab Ke Behte Ashkon Par
Hussain Ibne Ali Shah-e-Karbala Par Salaam

Yeh Kaun Un Se Kahe, Ab Na Royiye Bibi
Manga Ke Paani Zara, Chehra Dhoiye Bibi

Haram Ka Jo Tha Nigehbaan Woh So Gaya Ran Mein
Qamar Tha Jo Bani Hashim Ka Kho Gaya Ran Mein

Na Fikr Keejiye Ae Bibi Is Khule Sar Ki
Ab Aap Qafila-Salaar Hain Lute Ghar Ki

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.