Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai is an Urdu Salaam honoring Imam Hussain (AS) and his sacrifice for Islam at Karbala. The verses remember Bibi Zainab (SA), Hazrat Abbas (AS), Hazrat Ali Akbar (AS), Imam Zainul Abidin (AS), and the extraordinary patience of the Ahlulbayt. Read the Salaam in Roman Urdu, Urdu script and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai Lyrics

WA

Maula Ne Jalayi Hai To Yeh Shama Jali Hai
Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai

Jo Zulm Ke Mehrab Ka Jigar Kaat Ke Rakh De
Woh Sabr Ki Talwar Hussain Ibne Ali Hain
Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai

Zainab Hain Agar Fatima Zehra Ka Namoona
Abbas Ki Har Baat Mein Andaaz-e-Ali Hai
Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai

Uthta Hai Dhuan Seena-e-Dariya Se Musalsal
Pyase Hain Hussain, Aag Zamane Mein Lagi Hai
Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai

Shabbir Ka Gham, Akbar-o-Abbas Ke Hamrah
Quran Parha Hai Kabhi Tafseer Parhi Hai
Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai

Beemar Ko Zanjeer Pehnate Hain Sitamgar
Abbas Ko Zainab Ki Nazar Dhoond Rahi Hai
Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai

Hamshakl-e-Payambar Ke Sina Dil Mein Lagi Hai
Maan Dil Ko Sambhale Dar-e-Khaime Par Khari Hai
Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai

Ae Sabr Zara Thaam Lo Shabbir Ka Daaman
Hamshakl-e-Payambar Ke Sina Dil Mein Lagi Hai
Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai

Kehne Ko Sabhi Kehte Hain Apne Ko Musalman
Jannat Mein Wohi Jayega Jo Panjatani Hai
Islam Par Ehsan-e-Hussain Ibne Ali Hai

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.