Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Khayal-e-Khaliq-e-Akbar Ka Hum Khayal Hussain

Mukhtar Hussain Fatehpuri

2006Urdu
2006UrduImam Hussain
Khayal-e-Khaliq-e-Akbar Ka Hum Khayal Hussain is an Urdu Manqabat recited by Mukhtar Hussain Fatehpuri, with poetry by Mir Takallum Mir. This devotional kalam celebrates the spiritual greatness, sacrifice, courage and enduring legacy of Imam Hussain (AS). Through powerful poetic imagery, it reflects on his relationship with Prophet Muhammad (SAWW), Imam Ali (AS), Imam Hasan (AS) and the Ahlulbayt, while remembering the thirst of Karbala, the sacrifice of Ali Asghar and the loyalty of Hurr. The verses contrast the lasting remembrance of Imam Hussain with the downfall of Yazid and express devotion to his steadfastness in defending truth and faith. Explore the Manqabat in Roman Urdu, Urdu script and faithful English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2006
Personalities
Imam Hussain
Original
Urdu

Lyrics

Khayal-e-Khaliq-e-Akbar Ka Hum Khayal Hussain Lyrics

WA

Khayal-e-Khaliq-e-Akbar ka hum-khayal Hussain
Jise zawaal nahin hai woh la-zawaal Hussain
Bashar ke roop mein Allah ki misaal Hussain
Dil-e-Rasool ki dhadkan, Ali ka laal Hussain

Hussain jaise kisi ke bhi waalidain nahin
Bahut haseen hain Yusuf magar Hussain nahin

Samandaron ne kiya jiski tashnagi ko salaam
Namaaz karti rahi jiski bandagi ko salaam
Kiya hai maut ne khud jiski zindagi ko salaam
Zamaana karta hai ab tak usi jari ko salaam

Hayaat maut ke saa'il ko baant deta hai
Hussain tegh ko sheh-rag se kaat deta hai

Yeh kainaat hai riyaasat, raees hai Shabbir
Dabeer-e-ishq-e-Khuda ka Anees hai Shabbir
Nafas nafas ki sada hai, nafees hai Shabbir
Qasam Habib ki, qismat-navees hai Shabbir

Khuda ke lehje mein aksar kalaam karte hain
Hussain Hurr ko alaihis-salaam karte hain

Hussain sabr hai, eesaar hai, mohabbat hai
Hussain ishq ke mazmoon ki ibaarat hai
Hussain Rehmatul-lil-Aalameen pe rehmat hai
Hussain koi fasaana nahin, haqeeqat hai

Jahaan mein ab bhi Shah-e-Mashriqain baaqi hai
Yazid mit gaya, naam-e-Hussain baaqi hai

Diya bujha ke jo roshan kare zameer-e-bashar
Jo kainaat mein rakhta hai Hurr-shinaas nazar
Jo chashm-e-ghaiz se kar de jahaan ko zer-o-zabar
Hussain zaakir-e-Maabood hai tah-e-khanjar

Kamaal-e-azm-e-Muhammad dikha diya jisne
Sagheer bete ko Ghazi bana diya jisne

Kahin tabassum-e-Asghar, kahin Hasan hai Hussain
Kahin pe Ghazi, kahin aks-e-Panjtan hai Hussain
Kahin akela, kahin khud mein anjuman hai Hussain
Misaal-e-Haider-e-Karrar, saf-shikan hai Hussain

Har ek mahaaz pe ghalib dikhayi deta hai
Hussain to Abu Talib dikhayi deta hai

Hussain khaaliq-e-khaak-e-shifa, Maseeha bhi
Hussain faiz ka darya hai aur pyaasa bhi
Hussain mazhar-e-Rab hai, Khuda ka banda bhi
Hussain laakhon pe bhaari raha akela bhi

Hussain ne Abu Talib ke jaanasheen ki tarah
Ulat ke rakh diya maidaan aasteen ki tarah

Ghareeb aisa ke ghurbat nisaar ho jis par
Shaheed aisa, shahadat nisaar ho jis par
Zaheen aisa, zihanat nisaar ho jis par
Imam aisa, Imamat nisaar ho jis par

Nizaam-e-deen-o-shariat ki laaj rakhta hai
Hussain ab bhi Khuda ka mizaaj rakhta hai

Ana-parast ghareebon ka chaara-saaz Hussain
Wiqaar-e-Aal-e-Muhammad, Nabi ka naaz Hussain
Qasam Khuda ki, Khuda hone ka jawaaz Hussain
Kaho yeh Mir Takallum, meri namaaz Hussain

Nabi se poochh lo kya martaba Hussain ka hai
Yeh kainaat Khuda ki, Khuda Hussain ka hai

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2006
Personalities
Imam Hussain
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.