Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Na Poochiye Ke Kya Hussain Hai

Mir Hasan Mir

2001Urdu
2001UrduImam Hussain
Na Poochiye Ke Kya Hussain Hai is an Urdu Manqabat associated with the recitation of Mir Hasan Mir and poetry of Mir Takallum. It praises the spiritual greatness, courage, generosity and incomparable standing of Imam Hussain (AS), drawing upon the legacy of Karbala and the devotion of his followers.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2001
Personalities
Imam Hussain
Original
Urdu

Lyrics

Na Poochiye Ke Kya Hussain Hai Lyrics

WA

Kya Hussain hai!
Na poochiye ke kya Hussain hai
Khuda ke deen ka naakhuda, har ibtida ki ibtida
Karam ki inteha Hussain hai
Kya Hussain hai!
Na poochiye ke kya Hussain hai

Kare jo koi humsari, kisi ki kya majaal hai
Jahaan mein har lihaaz se Hussain bemisaal hai
Yeh ho chuka hai faisla, na koi doosra Khuda
Na koi doosra Hussain hai
Kya Hussain hai!
Na poochiye ke kya Hussain hai

Naseer-e-Shaam par nigaah ki to Hurr bana diya
Jo mar rahe the unko zindagi ka gur sikha diya
Thi har taraf jahaan sada, khula yeh raaz bhi wahaan
Hayaat baantta Hussain hai

Karoge gar mukhalifat gham-e-Hussain ki yahaan
Woh hashr hoga hashr mein ke al-hafeez-o-al-amaan
Jahaan bhi chhupne jaoge, kahin bhi chhup na paoge
Ke har jagah mera Hussain hai
Kya Hussain hai!
Na poochiye ke kya Hussain hai

Hai jiski fikr Karbala, Hussain woh dimaagh hai
Yeh Panjtan ki anjuman ka paanchwaan chiraagh hai
Hasan ka pehla humsafar, Ali ka doosra pisar
Imam teesra Hussain hai
Kya Hussain hai!
Na poochiye ke kya Hussain hai

Woh jisne baandh kar hawa jala diya, bujha diya
Zameen ko jisne arsh se buland martaba diya
Woh jisne kainaat ka nizaam hi badal diya
Ek aisa mojiza Hussain hai
Kya Hussain hai!
Na poochiye ke kya Hussain hai

Kisi ko hausla diya, kisi ko bakhsh di sahar
Diye kisi ko baal-o-par, kisi ko de diye pisar
Pukaari banda-parwari, lughat mein ahl-e-ishq ki
Madad ka tarjumaan Hussain hai
Kya Hussain hai!
Na poochiye ke kya Hussain hai

Shaheed-e-Karbala ka gham jise bhi naagawaar hai
Woh bad-amal hai, bad-nasab, usi pe beshumaar hai
Are o dushman-e-aza, tu mar zara, lahad mein ja
Pata chalega kya Hussain hai
Kya Hussain hai!
Na poochiye ke kya Hussain hai

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2001
Personalities
Imam Hussain
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.