Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Ali Azal Se Meri Rooh Ki Pukar Mein Hai

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduImam AliMuharram
Ali Azal Se Meri Rooh Ki Pukar Mein Hai is an Urdu manqabat reflecting on devotion to Imam Ali and his spiritual virtues. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Ali Azal Se Meri Rooh Ki Pukar Mein Hai Lyrics

WA

Ali Azal Se Meri Rooh Ki Pukar Mein Hai
Vila Ali Ki Humaray Lahoo Ki Dhaar Mein Hai

Ali Kay Zikr Se Pohncha Hoon Aasmaanon Tak
Shumaar Mera Bhala Varna Kis Shumaar Mein Hai

Ali Kay Qabza E Qudrat Mein Kya Hai Kya Maloom
Ye Doh Jahaan Ki Khudaayi Toh Ikhtisaar Mein Hai

Amar Ko Ghair Kay Laayi Hai Maut Khandaq Mein
Shikaar Sheyr Ki Iss Waqt Khud Kachaar Mein Hai

Ali Hain Ghayz Mein Khaybar Ki Aaj Khayr Nahi
Nigaah Dar Pe Jami Haath Zulfiqaar Mein Hai

Na Jaanay Kab Ki Qayamat Guzar Gayi Hoti
Ali Ke Laal Ki Ghaibat Liye Hisaar Mein Hai

Saja Lein Zer E Qadam Aag Ya Ali Keh Kar
Husain Kay Toh Ghulaamon Kay Akhtiyaar Mein Hai

Salaahay Matam E Shabbir Zaib Tan Rakhna
Aza E Sibtay Nabi Dastay Kaarzaar Mein Hai

Alam Kay Saaye Mein Barhtay Chalo Qadam Ba Qadam
Har Aik Qadam Ye Ibadat Ki Reh Guzaar Mein Hai

Lahoo Husain Ka Paaya Hai Jab Se Gayti Nay
Basaatay Aalam E Imkaan Nahi Qaraar Mein Hai

Hai Sar Pe Saaya Kiye Jiskay Chadar E Tatheer
Woh Sar Barehna Khari Shaam Kay Dayaar Mein Hai

Buland Jiss Se Kiya Tha Ali Nay Khaybar Ko
Woh Zor Baazu E Abbas E Naamdaar Mein Hai

Laga Kay Barchi Kalejay Se Sogaye Akbar
Behan Madinay Mein Bhai Kay Intezaar Mein Hai

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Personalities
Imam Ali, Imam Hussain, Hazrat Abbas, Ali Akbar, Imam Mahdi, Sayyida Zainab, Bibi Sughra
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
AZH Bayaz devotional poetry
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.