Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool Allah Ki Laazawal Darsgah Hussain Hai

Abid Ali Bela

Urdu
UrduImam HussainMuharram
La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool Allah Ki Laazawal Darsgah Hussain Hai is a celebrated Urdu Soz-o-Salam attributed to Athar Shah Khan (Jaidi), traditionally associated with the soulful recitations of Col. Abid Ali Bela and the Bela Brothers. The composition reflects upon Imam Hussain (AS), his devotion to Allah, and his extraordinary sacrifice in Karbala for the preservation of Islam. Its verses honour the spiritual greatness of Imam Hussain while mourning the martyrdom of Ali Akbar, the suffering of Bibi Sakina, the grief of Bibi Fatima Zahra, and the devastation endured by the Ahlulbayt. Explore this deeply moving devotional poetry with Roman Urdu lyrics, Urdu script, and a faithful English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool Allah Ki Laazawal Darsgah Hussain Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool Allah Ki Laazawal Darsgah Hussain Hai

La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool Allah Ki Laazawal Darsgah Hussain Hai

Abid Ali Bela

YouTube loads when you open Listen.

La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool Allah Ki Laazawal Darsgah Hussain Hai

Abid Ali Bela

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool Allah
Ki laazawaal darsgaah Hussain hai

Na jiski koi misaal hai, na jiski koi nazeer hai
Woh bemisaal shehenshah Hussain hai

Hussain rooh-e-kainaat hai
Hussain fakhr-e-mojizaat hai
Khuda ne jisko marhaba, hai nafs-e-mutma'in kaha
Woh Karbala ka Mustafa Hussain hai

Hussain La Ilah ki zindagi
Hussain Ambiya ki bandagi
La Ilah se pooch lo ke saari kainaat mein
Sirf bina-e-La Ilah Hussain hai

Haram mein hashr ka samaan hua
Phuphi se jab Sakina ne yeh kaha
Mujhe na neend aati hai, main sou'n kiske seene par
Kahan chala gaya mera Hussain hai

Hai Hashmi jawano, kya hua
Kahan chale gaye ho bawafa
Sada yeh Fatima ki thi ke ran mein koi bhi nahin
Akela reh gaya mera Hussain hai

Pari hain ran mein laashein ja-ba-ja
Jale khayaam, kuch bhi na bacha
Haram ke sar se chheen li Yazeediyon ne chadarein
Yun Karbala mein lut gaya Hussain hai

Hussain deen ka shabaab hai
Hussain dard ki kitaab hai
Kafan ke band khol kar bulaya jisko maa ne khud
Woh Fatima ka laadla Hussain hai

Tarap chuki shabeeh-e-Mustafa
Magar Hussain hi datta hua
Pisar-e-jawaan ki laash pe hai mutma'in khara raha
Yeh woh Khaleel-e-Karbala Hussain hai

Apne khoon ka ghusl mila
Kafan hai jiska khaak-e-Karbala
Dafan behan na kar saki, hai dhoop mein para raha
Yeh woh ghareeb-e-Karbala Hussain hai

La Ilaha Illallah Muhammadur Rasool Allah
Ki laazawaal darsgaah Hussain hai

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.