Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ya Fatima Mazlooma-e-Alam

Farhan Ali Waris

2026Urdu
2026UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Ya Fatima Mazlooma-e-Alam is a 2026 Ayyam-e-Fatimiyah Noha recited by Farhan Ali Waris with poetry by Zeeshan Abidi. The lament addresses Sayyida Fatima Zahra, recalling the suffering of her household in Medina, her grief after the Prophet's passing and the sorrow of her funeral. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Ya Fatima Mazlooma-e-Alam Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ya Fatima Mazlooma-e-Alam

Ya Fatima Mazlooma-e-Alam

Farhan Ali Waris

YouTube loads when you open Listen.

Ya Fatima Mazlooma-e-Alam

Farhan Ali Waris

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye
Fatima Mazlooma-e-Alam, Ya Fatima

Ae Dil-e-Ghamkhwar, Ya Fatima ×4

Ya Fatima ×3
Mazlooma-e-Alam

Jab Jalta Darwaza Zalim Ne Giraya
Ro Ro Ke Bas Tune Fizza Ko Bulaya
Darwaze Ke Neeche Zakhmi Tujhe Dekha
Tujh Par Se Jab Dar Woh Fizza Ne Uthaya
Zahra, Tere Hi Ghar Mein Hai Tera Lahoo Baha
Mazlooma-e-Alam

Ya Fatima ×3
Mazlooma-e-Alam

Bachon Ne Dekha Tha Zakhmi Tera Chehra
Ek Zalim Ne Tujhko Jab Mara Tamacha
Toota Tha Jo Bazu, Us Hath Pe Bibi
Jab Zalim Ne Mara Talwar Ka Dasta
Tu Gir Gayi, Na Tujhse Phir Utha Gaya
Mazlooma-e-Alam

Ya Fatima ×3
Mazlooma-e-Alam

Ya Zahra, Tooti Thin Sab Pasliyan Teri
Darwaza Girne Se Pehlu Bhi Tha Zakhmi
Ae Bibi, Gham Apne Sab Bhool Gayi Tu
Haider Ki Gardan Mein Jab Dekh Li Rassi
Tujhe Wahan Pe Taziyana Bhi Laga
Mazlooma-e-Alam

Ya Fatima ×3
Mazlooma-e-Alam

Kyun Tujhko Ummat Ne Darbar Bulaya
Hans Hans Ke Logon Ne Kyun Tujhko Rulaya
Siddiqa Thi, Tujhko Jhutla Diya Sabne
Tu Bint-e-Ahmad Hai, Kyun Khauf Na Aaya
Gawah Khud Har Ek Sitam Ka Hai Khuda
Mazlooma-e-Alam

Ya Fatima ×3
Mazlooma-e-Alam

Mar Jaye Duniya Mein Gar Baap Kisi Ka
Dete Hain Bachon Ko Sab Baap Ka Pursa
Tu Baithi Thi Baba Ke Farsh-e-Aza Par
Ghar Tere Aye Bibi Koi Nahi Aaya
Tujhe Pidar Ka Pursa Bhi Nahi Mila
Mazlooma-e-Alam

Ya Fatima ×3
Mazlooma-e-Alam

Tu Baba Ke Gham Mein Jab Roti Thi Zahra
Kehte The Haider Se Yeh Ahl-e-Madina
Woh Din Mein Ro Lein Ya Raat Mein Ro Lein
Jab Roti Hain Zahra, Soya Nahi Jata
Pidar Ke Gham Mein Bhi Rone Nahi Diya
Mazlooma-e-Alam

Ya Fatima ×3
Mazlooma-e-Alam

Kehte Hain Ro Kar, O Bibi, Farhan-o-Zeeshan
Bibi Ka Hum Rauza Dekhein, Hai Yeh Armaan
Ghaibat Se Bulwa Lein Ab Mehdi Ko, Zahra
Aa Jata Hai Beta, De Hukm Agar Maa
Hai Aapko Ali Ke Haq Ka Wasta
Mazlooma-e-Alam

Ya Fatima ×3
Mazlooma-e-Alam

Ya Fatima Zahra ×3
Ya Zahra, Ya Zahra, Mazlooma-e-Alam ×2

Yaad Hai Ya Fatima, Aapne Jo Bhi Saha
Jalta Hua Dar Gira, Pehlu Shikasta Hua
Ya Zahra, Ya Zahra, Mazlooma-e-Alam

Ghusl Diya Aapko, Sabr Nahi Ho Saka
Pasliyan Tooti Hui Dekhein, Ali Ne Kaha
Ya Zahra, Ya Zahra, Mazlooma-e-Alam

Rote The Hasnain Bhi, Zainab-o-Kulsoom Bhi
Maa Ka Janaza Utha, Ghar Mein Yeh Kohram Tha
Ya Zahra, Ya Zahra, Mazlooma-e-Alam

Saat Ridaon Ka Jab Maula Kafan De Chuke
Bas Yehi Kehte Hue Qabr Mein Dafna Diya
Ya Zahra, Ya Zahra, Mazlooma-e-Alam

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad, Imam Ali, Imam Hasan, Imam Hussain, Sayyida Zainab, Sayyida Umm Kulthum, Hazrat Fizza, Imam Mahdi
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Themes
Suffering of Sayyida Fatima Zahra, Grief of Ahlul Bayt, Mourning in Medina
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.