Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Zahra Bad Dua Na Karna

Kazmi Brothers

2026Urdu
2026UrduSayyida Fatima ZahraAyyam-e-Fatimiyah
Zahra Bad Dua Na Karna is a 2026 Ayyam-e-Fatimiyah Noha recited by Kazmi Brothers, with poetry by Zeeshan Abidi. The lament portrays Imam Ali addressing Sayyida Fatima Zahra during the suffering of her household in Medina, recalling her injuries, the loss of Mohsin and the impending captivity of Ahlul Bayt. Read the text in Roman Urdu and Urdu, together with its English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Zahra Bad Dua Na Karna Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zahra Bad Dua Na Karna

Zahra Bad Dua Na Karna

Kazmi Brothers

YouTube loads when you open Listen.

Zahra Bad Dua Na Karna

Kazmi Brothers

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Zahra
Zahra, Bad Dua Na Karna, Tumko Qasam Ali Ki

Zakhmi Ho, Yahin Par Ruk Jao
Mere Peechhe Peechhe Mat Aao
Rehne Do Gale Mein Yeh Rassi

Zahra, Bad Dua Na Karna, Tumko Qasam Ali Ki ×2

Pehlu Se Apne Bibi Woh Haath Mat Uthana
Mara Hai Jis Pe Haaye Zalim Ne Taziyana
Hilta Nahin Ab Zakhmi Bazu, Kaise Ponchhogi Mere Aansoo?
Nam Rehne Do Aankhein Meri

Zahra, Bad Dua Na Karna, Tumko Qasam Ali Ki ×2

Khaya Hai Jo Tamacha, Chehre Pe Woh Ayaan Hai
Ab Tak Tumhare Munh Par Ek Haath Ka Nishan Hai
Dekhe Na Hussain In Gaalon Ko, Mat Kholna Apne Baalon Ko
Jaane Do Mujhe Ban Kar Qaidi

Zahra, Bad Dua Na Karna, Tumko Qasam Ali Ki ×2

Tum Maa Ho, Jaanti Ho Dil Kis Tarah Sambhala
Qatil Ne Jab Hamare Mohsin Ko Maar Dala
Is Zalim Ne Hi Hans Hans Kar Phenka Tha Jalta Dar Tum Par
Jo Kheench Raha Hai Yeh Rassi

Zahra

Zainab Tarap Ke Boli, Gar Qaid Hai Zaroori
Baba, Teri Taraf Se Ban Jaungi Main Qaidi
Haath Mein Rasan Bandhwaungi, Main Bazaron Mein Jaungi
Kyun Kehte Ho Tum Ban Kar Qaidi?

Zahra, Bad Dua Na Karna, Tumko Qasam Ali Ki ×2

Bole Hussain, Zainab Jayegi Kyun Akeli?
Baba, Gale Mein Rassi Pehnegi Meri Beti
Panjon Pe Chalegi Saath Woh Jab, Us Waqt Ali Ban Kar Zainab
Chhoti Zahra Se Bolegi

Zahra, Bad Dua Na Karna, Tumko Qasam Ali Ki ×2

Aisi Ada-Kari Tum Hogi Sahabiyon Mein
Par Shaam Mein Yeh Zainab Hogi Sharabiyon Mein
Jaogi Rida Mein Tum Lekin, Ghazi Ki Behan Zainab Ek Din
Darbar Mein Be-Chadar Hogi

Zahra, Bad Dua Na Karna, Tumko Qasam Ali Ki ×2

Zeeshan Abidi, Yeh Ro Kar Ali Pukare
Koi Kisi Ki Beti Ko Is Tarah Na Mare
Girti Ho Kabhi Tum, Uthti Ho, Atharah Baras Mein Aisi Ho
Jaise Ke Zaeefa Ho Koi

Zahra, Bad Dua Na Karna, Tumko Qasam Ali Ki ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Personalities
Sayyida Fatima Zahra, Imam Ali, Imam Hasan, Imam Hussain, Sayyida Zainab
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Themes
Suffering of Sayyida Fatima Zahra, Grief of Ahlul Bayt, Mourning in Medina, Captivity of Ahlul Bayt
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.