Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya

Syed Raza Abbas Zaidi

2026Urdu
2026UrduImam AliAyyam-e-Fatimiyah
Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya is a 2026 Urdu Ayyam-e-Fatimiyah noha recited and composed by Syed Raza Abbas Zaidi, with poetry by Zeeshan Abidi. Dedicated to the martyrdom and suffering of Bibi Fatima Zahra (SA), the lament portrays the sorrowful events following the passing of Prophet Muhammad (SAWW). Its verses recount the attack upon her home, her injuries, her efforts to protect Imam Ali (AS), her final instructions concerning her burial, and the grief of her young children. Through moving scenes of mourning and separation, the noha reflects the devotional remembrance of Sayyida Fatima Zahra (SA) observed during Ayyam-e-Fatimiyah.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Personalities
Imam Ali
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya

Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya

Syed Raza Abbas Zaidi

YouTube loads when you open Listen.

Muhammad Ki Beti Ko Maar Diya

Syed Raza Abbas Zaidi

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye Zahra, Zahra, Haaye Zahra ×4

Aur kisi ghar mein jab koi marta hai
Janazay ka ailaan hota hai
Magar yeh woh mazloom Zahra hai ×2
Jo keh ke gayi mujhko tareeki mein dafnana
Haider, meri mayyat pe unko nahi bulwana
Jinhon ne mera pehlu zakhmi kiya
Muhammad ki beti ko maar diya

Muhammad ki beti ko maar diya ×2

Bohat maara logon ne ghar aakar
Shikasta hua baazu, zakhmi sar
Gira jalta darwaza pehlu par
Jab log chale, dar par behosh hui Zahra
Is tarah theen band aankhein jaise ho koi laasha
Haaye, utha dar to Fizza ko aisa laga
Muhammad ki beti ko maar diya

Muhammad ki beti ko maar diya ×2

Tamacha koi maa nahi khaaye
Duaein woh karti rahi, haaye
Ilahi, mujhe maut aa jaaye
Chehre ke nishanon par kab tak main rakhun chadar
Tha saath mera beta jab haath utha mujh par
Haaye, tamache ke gham ne jeene na diya
Muhammad ki beti ko maar diya

Haaye Zahra, Zahra, Haaye Zahra ×2

Ali ke gale mein jo rassi thi
Muhammad ki beti ne jab dekhi
Chali peechhe peechhe woh roti hui
Ek haath tha pehlu par, ek haath hua neela
Rassi se Ali ko jab chhurane lagi Zahra
Sitamgar ne ek taziyana liya
Muhammad ki beti ko maar diya

Muhammad ki beti ko maar diya ×2

Laga zakhm pehlu pe jab gehra
Hua surkh takleef se chehra
Jawani mein hi mar gayin Zahra
Haider ne janazay ko jab ghusl diya aake
Sab pasliyan tooti theen, kehne lage chilla ke
Haaye, sitamgaron ne itna zakhmi kiya
Muhammad ki beti ko maar diya

Haaye Zahra, Zahra, Haaye Zahra ×2

Ali karne tadfeen jab pohnche
Yeh keh ke lehad se do haath uthe
Ali, saunp do meri beti mujhe
Yeh sun ke Ali bole, zakhmi hai bohat Zahra
Jaisi mujhe saunpi thi, ab waisi nahi Zahra
Haaye, mere saamne Ya Rasool Allah
Muhammad ki beti ko maar diya

Muhammad ki beti ko maar diya ×2

Abhi bachche chhote thay Zahra ke
Ali aaye Zahra ko dafna ke
Bohat roye bachchon ko lipta ke
Yeh dekh ke Asma ne Fizza se kaha ro kar
Ab kaise jiyenge yeh Amma se juda hokar
Haaye, yateem aise bachchon ko kisne kiya
Muhammad ki beti ko maar diya

Muhammad ki beti ko maar diya ×2

Raza aur Zeeshan, woh Zahra
Zyada nahi reh saki zinda
Nahi seh saki dard pehlu ka
Takleef ki shiddat se jab mar gayin Zahra to
Yeh sunte hi khush hoke ek Shaam ke zalim ko
Haaye, Madinay ke zalim ne khat mein likha
Muhammad ki beti ko maar diya

Haaye Zahra, Zahra, Haaye Zahra ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Personalities
Imam Ali
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.