Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Yaad Aata Hai Tera Darbar Ya Allah

Shahid Baltistani

2020Urdu
2020Urdu
Yaad Aata Hai Tera Darbar Ya Allah is a 2020 devotional Hajj kalam and Hamd originally recited and composed by Shahid Baltistani, with poetry by Mir Takallum. It expresses a longing to visit the Holy Kaaba, perform Hajj, stand at Arafat, remember Safa and Marwa, and recite the sacred Talbiyah. The verses combine sincere prayer with reflections on unity, devotion and the spiritual meaning of Hajj.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2020
Original
Urdu

Lyrics

Yaad Aata Hai Tera Darbar Ya Allah Lyrics

WA

Allah Hu
Allah Hu

Yaad aata hai tera darbaar, tera darbaar Ya Allah
Yaad aata hai tera darbaar, tera darbaar Ya Allah

Door se kab tak main dekhun Khaana-e-Kaaba
Ab nahin mujhse raha jaata mere Maula
Raat din aankhon mein bas yeh khwaab rehta hai
Lab pe Allahumma Labbaik ka naara

Labbaik Allahumma Labbaik
Labbaika laa shareeka laka Labbaik
Innal-hamda wan-ni'mata laka wal-mulk
Laa shareeka lak
Labbaik Allahumma Labbaik

Baandh kar Meeqaat se ehraam aaunga
Khaana-e-Kaaba ke phir chakkar lagaunga
Hajar-e-Aswad choom lunga apni nazron se
Hajj pe yeh armaan saare leke jaaunga
Surah-e-Hajj padh liya Quran mein Maula
Hai Safa Marwa mere ausaan mein Maula
Jism to mera yahaan par reh gaya lekin
Rooh hai Arafat ke maidaan mein Maula

Yaad aata hai tera darbaar, tera darbaar Ya Allah
Yaad aata hai tera darbaar, tera darbaar Ya Allah

Aye Khuda aashiq hoon main Rukn-e-Yamani ka
Aab-e-Kausar ki tarah Zamzam ka hoon pyaasa
Aayatein Makkah mein hain phaili hui teri
Dil Mina par hai mera qurbaan aye Maula
Aankh se mahaul Jannat ka nahin dekha
Agar tere Mehboob ka jalwa nahin dekha
Saari duniya dekh kar bhi aisa lagta hai
Kuchh nahin dekha agar Kaaba nahin dekha

Yaad aata hai tera darbaar, tera darbaar Ya Allah
Yaad aata hai tera darbaar, tera darbaar Ya Allah

Apne bandon se agar naraaz hai Maalik
Panjtan ka waasta raazi ho aye Maalik
Tu agar chaahe to ho aasaan har mushkil
Raaste hum par safar ke khol de Maalik

Labbaik Allahumma Labbaik
Labbaik Allahumma Labbaik

Hai Takallum Musalmanon ko dars yeh Hajj ka
Sab ka andaaz-e-ibaadat ek hi jaisa
Muttahid ho jaao ab to aye Musalmano
Masjid sab ki alag hai ek hai Kaaba
Ek hai Kaaba, ek hai Kaaba

Yaad aata hai tera darbaar, tera darbaar Ya Allah
Yaad aata hai tera darbaar, tera darbaar Ya Allah

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2020
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.