Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Hussain

Mir Hasan Mir

2016Urdu
2016Urdu
Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Hussain is a deeply emotional Salam remembering the grief of Bibi Zainab (SA) after Karbala. The kalaam reflects her sorrow for Imam Hussain (AS), the pain of seeing his final moments, the memory of the martyrs, and the thirst of Karbala that returns whenever cold water is seen or drunk. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Year
2016
Original
Urdu

Lyrics

Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Hussain Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Hussain

Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Hussain

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Aaj Bhi Zainab Ki Aati Hai Sada Bhai Hussain

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aaj bhi Zainab ki aati hai sada, bhai Hussain
Tera chehra, teri aankhein bhool kab payi Hussain

Chalte naaqe se giraya khud ko jalti ret par
Ghutniyo ke bal main teri laash tak aayi Hussain

Bas main ghabrayi thi khanjar tujh pe chalta dekh kar
Phir kisi mushkil mein ghir kar main na ghabrayi Hussain

Kaun tha jo marne walon mein nahi tha khubaru
Bhoolne baithi to kis kis ki na yaad aayi Hussain

Beh rahe thay aankh se aansu teri rukhsat ke waqt
Phir koi aansu na tapka, aankh pathrayi Hussain

Door uftada safar se laut kar maine, Naved
Thanda pani jab piya bas teri yaad aayi Hussain

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Year
2016
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.