Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Akbar Humein Mar Janay Do

Mir Hasan Mir

2026Urdu
2026Urdu
Akbar Humein Mar Janay Do is a heart-rending Noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Mir Takallum. The Noha portrays the final moments of Ali Akbar (a.s.) as Imam Hussain (a.s.) struggles with the grief of sending his beloved son toward the battlefield. The lyrics express the pain of Karbala, the sorrow of a father witnessing his son’s martyrdom, and the profound tragedy surrounding the return of Ali Akbar’s body from the maqtal.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Original
Urdu

Lyrics

Akbar Humein Mar Janay Do Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Akbar Humein Mar Janay Do

Akbar Humein Mar Janay Do

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Akbar Humein Mar Janay Do

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haye Akbar, haye Akbar

Ghurbat ki ghadi yeh aayi
Aankhon se chali beenayi
Tum ghar se chale ho aise
Jaata hai janaza jaise

Haye Akbar, haye Akbar
Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana x2

Mushkil hai zaeefi mein x2 jawaan laash uthana
Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana x2

Phir laut ke aayegi na maqtal se sawari
Maa ko bada armaan tha shaadi ka tumhari
Taaboot pe mumkin to, haye
Taaboot pe mumkin to nahi sehra sajana
Akbar

Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana

Khaime se zara door chalo, aye mere dilbar
Yeh baat na sun le kahin Zainab meri aakar
Aye laal, tera seena hai naizon ka nishana

Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana x2

Maango na qaza mujhse, tadapta hai mera dil
Kismat ki lakeeron ka badalna nahi mushkil
Hum umr badha denge x2, zara haath dikhana
Akbar

Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana

Abbas ka marna hai meri maut ka ailaan
Kuch reham karo meri zaeefi pe, meri jaan
Aasaan nahi seene se x2, barchhi ka chhurana
Akbar x2

Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana x2

Mazloom ki tooti hai kamar, aas na todo
Aye laal mere, saamne yun haath na joro
Achha nahi lagta humein har baar batana
Akbar

Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana x2

Naiza dil-e-nazuk mein utarta hua dekhoon
Main zinda rahoon aur tumhein marta hua dekhoon
Tum mein nazar aate hain hamesha mujhe Nana

Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana x2

Utho, mere qadmon se ijazat tumhein denge
Achha chalo, hum baat agar maan bhi lenge
Mushkil hai bahut Saniye x2, Zahra ko manana
Akbar

Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana

Akbar gaye maqtal mein, gire zeen se zameen par
Laashe se Takallum yeh kaha Sheh ne tadap kar
Thehro abhi kuch der, na ho Khuld rawana

Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana

Akbar humein mar jaane do, phir marne ko jaana x2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.