Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Zia-e-Khoon-e-Shaheedaan Ki Dilkashi Zainab

Mir Hasan Mir

2015Urdu
2015UrduSayyida ZainabMuharram
Zia-e-Khoon-e-Shaheedaan Ki Dilkashi Zainab is a poetic Salam recited by Mir Hasan Mir in his Volume 2015 collection. It honours Sayyida Zainab’s courage in safeguarding the memory and message of Imam Hussain after Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Year
2015
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Ali un Wali Ullah (a.s) — Volume 2015

Lyrics

Zia-e-Khoon-e-Shaheedaan Ki Dilkashi Zainab Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Zia-e-Khoon-e-Shaheedaan Ki Dilkashi Zainab

Zia-e-Khoon-e-Shaheedaan Ki Dilkashi Zainab

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Zia-e-Khoon-e-Shaheedaan Ki Dilkashi Zainab

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Zia-e-khoon-e-shaheedaan ki dilkashi Zainab ×2
Hussainiyat ke charaaghon ki roshni Zainab

Kiya woh raah mein bartaav kalma-goyon ne ×2
Ke jaise thi na nawaasi Rasool ki Zainab
Zia-e-khoon-e-shaheedaan ki dilkashi Zainab

Aza-e-Shah mein hi zindagi tamaam hui ×2
Na apne Aun-o-Muhammad ko ro saki Zainab
Zia-e-khoon-e-shaheedaan ki dilkashi Zainab

Ali ke laal ka laasha tarap utha us dam ×2
Tumhaare baazu mein jis dam rasan bandhi Zainab
Zia-e-khoon-e-shaheedaan ki dilkashi Zainab

Kisi ne maara jo patthar to chup rahi lekin ×2
Kaha jo baaghi kisi ne to ro pari Zainab
Zia-e-khoon-e-shaheedaan ki dilkashi Zainab

Lahoo mein doobi hui beriyaan woh bete ki ×2
Safar mein thaam ke dil dekhti rahi Zainab
Zia-e-khoon-e-shaheedaan ki dilkashi Zainab

Hussain choor the zakhmon se phir bhi uth baithe ×2
Kaha jo Shimr ne khaime se aa gayi Zainab
Zia-e-khoon-e-shaheedaan ki dilkashi Zainab

Hijaab mein bhi jahaan se guzarna mushkil tha ×2
Wahaan pe kaise khule sar khari rahi Zainab
Zia-e-khoon-e-shaheedaan ki dilkashi Zainab

Hussainiyat ko baqa is liye Nisaar mili ×2
Yazeediyat ke muqaabil nahin jhuki Zainab
Hussainiyat ke charaaghon ki roshni Zainab

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Year
2015
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Imam Ali, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Sayyida Zainab, Legacy of Hussainiyat, Karbala and captivity
Original language
Urdu
Album
Ali un Wali Ullah (a.s) — Volume 2015

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.