Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aaj Baghdad Me Koi Qaidi

Mir Hasan Mir

2021Urdu
2021UrduImam Musa Kazim25 Rajab
Aaj Baghdad Me Koi Qaidi is a sorrowful Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry attributed to Mir Takallum. Addressing Imam Ali Raza (a.s.), it mourns the martyrdom of his father, Imam Musa al-Kazim (a.s.), describing his imprisonment, wounded body and funeral in Baghdad.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2021
Occasion
25 Rajab
Original
Urdu

Lyrics

Aaj Baghdad Me Koi Qaidi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aaj Baghdad Me Koi Qaidi

Aaj Baghdad Me Koi Qaidi

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Aaj Baghdad Me Koi Qaidi

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Tere Baba ka zakhmi laasha, Baghdad ke pul par rakha hai
Ya Imam Raza, Ya Imam Raza, Ya Imam Raza

Aaj Baghdad mein koi qaidi, ho gaya hai riha Raza Maula ×3
Pul pe tere ghareeb Baba ka ×2
Hai janaza rakha Raza Maula

Aaj Baghdad mein koi qaidi, ho gaya hai riha Raza Maula ×2

Ek Bibi sirhane baithi hai, kis ne jaane use khabar ki hai
Haath pehlu pe apne rakhe hue, aayi hai Fatima Raza Maula

Raat se pul pe laasha rakha hai, jo guzarta hai is pe hansta hai
Bebasi par tumhare Baba ki, ro rahi hai qaza Raza Maula

Haal achhe nahi hain mayyat ke, aa ja e'jaz se imamat ke
Shehr-e-Baghdad se Madine ka, hai bahut faasla Raza Maula

Ek munadi nida yeh deta hai, Rafiziyon ka Maula maara gaya
Aaj aulaad par Muhammad ki, waqt kya aa gaya Raza Maula

Kabhi dadi ko yaad karta tha, kabhi beti ko yaad karta tha
Waqt-e-aakhir tha us ke honton par, Fatima Fatima Raza Maula

Qaidkhane se pul talak is ko, chand mazdoor le ke aaye hain
Beriyon ke nishan ghurbat ka, de rahe hain pata Raza Maula

Tauq gardan ka, paaon ki beri, yeh Takallum sadaein dete hain
Inna lillah parh ke Baba ka, ab janaza utha Raza Maula

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2021
Personalities
Imam Musa Kazim, Imam Raza
Occasion
25 Rajab
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.