Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Abbas Tera Haq Hai

Mir Hasan Mir

2017Urdu
2017UrduImam HussainMuharram
Abbas Tera Haq Hai, also known as Abbas Tera Haq Hai Zamana Tujhe Roye, is a 2017 Urdu Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry by Mir Takallum Mir. Dedicated to Hazrat Abbas Alamdar, the lament reflects on his martyrdom at Karbala and the grief of Imam Hussain, Bibi Zainab, Bibi Sakina and Imam Zainul Abidin. Through its recurring refrain, the poetry portrays how the sacrifice of Abbas remains a source of mourning and remembrance for generations of devotees.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2017
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu
Album
Abbas Tera Haq Hai Zamana Tujhe Roye

Lyrics

Abbas Tera Haq Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Abbas Tera Haq Hai

Abbas Tera Haq Hai

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Abbas Tera Haq Hai

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Abbas, Abbas, Abbas ×2

Abbas tera haq hai zamana tujhe roye ×2
Jab shaam-o-sahar Fatima Zahra tujhe roye
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye ×2

Haaye Abbas

Durra liye pehre pe sitamgaar khada hai ×2
Kaise tere laashe pe Sakina tujhe roye ×2
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye

Jis waqt uthaya na gaya laasha jawaan ka ×2
Sheh us ghadi Akbar se zyada tujhe roye ×2
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye

Zainab ne kaha Shaam-e-Ghareebaan mein ae Ghazi ×2
Be-parda mujhe dekh ke Baba tujhe roye ×2
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye

Sajde ke liye jab liya haathon ka sahara ×2
To Sajjad musalle pe hamesha tujhe roye
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye

Bin haathon ke kis tarah tu ghode se gira tha ×2
Yeh sunke bahut Ahl-e-Madina tujhe roye ×2
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye

Mashkeeza kahin, jism kahin, haath kahin hai
Jaa jaa ke kahan Fatima Zahra tujhe roye ×2
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye

Armaan Sakina ka tha jitna tujhe roti ×2
Sajjad teri qabr pe utna tujhe roye ×2
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye

Hashim ke Qamar, kyun na tera chahne wala ×2
Wash-Shams ka padhte hue surah tujhe roye ×2
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye

Hasrat hai ke Ghazi ho lahu aankh se jaari ×2
Yeh Mir Takallum kabhi aisa tujhe roye
Jab shaam-o-sahar Fatima Zahra tujhe roye
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye

Haaye Abbas

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2017
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu
Album
Abbas Tera Haq Hai Zamana Tujhe Roye

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.