Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Bharay Madinay Mein

Mir Hasan Mir

2026Urdu
2026UrduImam AliAyyam-e-Fatimiyah
Bharay Madinay Mein is an Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry attributed to Mir Takallum Mir. Through the sorrowful voice of Bibi Fatima Zahra (SA), the noha addresses the Holy Prophet Muhammad (SAWW) and portrays her suffering in Madina following his demise. Its verses lament the burning of her doorway, the treatment of Imam Ali (AS), the rejection of her appeals concerning Ghadeer, and her loneliness among the people of Madina. The composition also draws poignant parallels between the suffering of Bibi Fatima (SA) and the later tragedies of Karbala, making it a deeply emotional lament associated with Ayyam-e-Fatimiyah.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Personalities
Imam Ali
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original
Urdu

Lyrics

Bharay Madinay Mein Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Bharay Madinay Mein

Bharay Madinay Mein

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Bharay Madinay Mein

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Baba, mere Baba ×4

Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein ×2
Akeli ho gayi Zahra ×2, bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein ×2

Hamara jalta hua dar bujhane ki khatir
Rasan Ali ke gale se chhurane ki khatir
Koi bhi ghar se na nikla bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein

Haaye, woh jisko Biz'atun Minni khud aap kehte thay
Ghazab hai aap ki us parda-daar beti pe
Kisi ne haath uthaya bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein

Haaye, yeh dukh Sakina ko Zainab mera suna dena
Use to Shaam-e-Ghareeban mein Shimr maarega
Mujhe laga hai tamacha bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein

Ghadeer yaad dilane gharon pe jaati hoon
Main un pe dastakein de de ke laut aati hoon
Koi bhi dar nahin khulta bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein

Aray, thi mere saamne rassi mein gardan-e-Haider
Mujhe Ali ne na us waqt roka hota agar
Na rehta koi bhi zinda bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein

Hamare ghar ka dhuan bhi nazar na aaya unhein
Na mere bachchon ki aahon ne jagaya unhein
Sukoon se so gayi duniya bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein

Aray, main Bait-ul-Huzn mein jaati thi aap ko rone
Use bhi aag laga di hai kalma-goyon ne
Main ro bhi na paayi Baba, bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein

Aray, ae Baba, mujhko yehi baat khaaye jaati hai
Koi bhi keh nahin paaya Batool sachchi hai
Kaha gaya mujhe jhoota bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein

Abu Turab se keh kar mujhe bulaya tha
Aray, yeh shehr kya aap ne is liye basaya tha
Batool khaati hai durra bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein

Sitam hai ab bhi Takallum Batool par jaari
Jahan pe hain qabrein Zahra ke chaar beton ki
Hai bas wahin pe andhera bharay Madinay mein
Yeh haal ho gaya Baba, bharay Madinay mein

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Personalities
Imam Ali
Occasion
Ayyam-e-Fatimiyah
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.