Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Munajat

Churwa Do Hamein Gham Say Yehi Waqt e Karam Hai

Mir Hasan Mir

2020Urdu
2020Urdu
Churwa Do Hamein Gham Say Yehi Waqt e Karam Hai is a heartfelt devotional Munajat recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Mir Takallum. The Kalam addresses Bibi Fatima Zahra (s.a.), seeking her intercession, blessings, mercy, and fulfillment of heartfelt prayers. The verses invoke the Ahlulbayt, Karbala, Imam Hussain (a.s.), Hazrat Abbas (a.s.), Imam Zainul Abidin (a.s.), Imam Mahdi (a.s.), and the needs of believers.Read moreShow less
Munajat DetailsTap to viewTap to hide
Category
Munajat
Year
2020
Original
Urdu

Munajat Text

Churwa Do Hamein Gham Say Yehi Waqt e Karam Hai

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Churwa Do Hamein Gham Say Yehi Waqt e Karam Hai

Churwa Do Hamein Gham Say Yehi Waqt e Karam Hai

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Churwa Do Hamein Gham Say Yehi Waqt e Karam Hai

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Fatima Zahra x2
Ya Fatima Zahra x2

Churwa do humein gham se, yehi waqt-e-karam hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Aulad ki nemat se hain mehroom jo maaein
Be-Sheer ke jhule pe woh karti hain duaein
Umeed-e-karam aap ka hi baab-e-karam hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Har ranj-o-bala door rahe, hai yehi faryaad
Shabbir ke matam ke liye woh rahe aabaad
Abbas-e-Alamdar ka jis ghar pe alam hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Rizwan-o-Malaik hain pale aap ke dar se
Kyun banda-e-Momin bhala phir rizq ko tarse
Haatim ka nahi, ye to dar-e-Shah-e-Umam hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Sajjad ke sadqe, usay aazaad kara dein
Sughra ke tasadduq, usay apnon se mila dein
Momin jo koi qaid mein be-jurm-o-sitam hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Dena hai mujhe aap ko Shabbir ka pursa
Bibi, mujhe jaldi se bula lijiye Madina
Saansen ye batati hain ke ab waqt bhi kam hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Khushiyon ki talab aap se ki hai, na kareinge
Hum aap ki marzi pe razamand rahenge
Darkaar humein aap se Shabbir ka gham hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Hai meri dua aap se, aye Malika-e-Jannat
Sar apna utha kar woh chale ta-ba-Qayamat
Jis jis ki jabeen aap ki dehleez pe kham hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Aye kufw-e-Ali, jald unhein kufw-e-ata kar
Arse se hain baithi hui kuch betiyan ghar par
Is baat ka maa-baap ko har waqt alam hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Mehdi se lahd aap ki dekhi nahi jaati
Ab parda-e-Ghaibat se unhein bhej do Bibi
Ye meri duaon mein dua sab se aham hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Ye kehte hain beemar ke mimbar se dua do
Tum Zakir-e-Sarwar ho, shifa hum ko dila do
Bibi, tere haathon mein Takallum ka bharam hai
Ya Fatima Zahra, tumhein bachon ki qasam hai

Details

Munajat Details

Category
Munajat
Year
2020
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.