Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Kahan Ahl-e-Mawaddat Ko Zamana Yaad Rehta Hai

Ustad Hamid Ali Khan

2013Urdu
2013Urdu
Kahan Ehl-e-Mawaddat Ko Zamana Yaad Rehta Hai is a well-known Soz-o-Salam / Manqabat famously recited by Ustad Hamid Ali Khan. This kalaam praises the love and devotion of the followers of Ahlulbayt (AS), highlighting the household of Prophet Muhammad (SAW), the gate of knowledge Imam Ali (AS), and the Alam of Hazrat Abbas (AS). Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Year
2013
Original
Urdu

Lyrics

Kahan Ahl-e-Mawaddat Ko Zamana Yaad Rehta Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kahan Ahl-e-Mawaddat Ko Zamana Yaad Rehta Hai

Kahan Ahl-e-Mawaddat Ko Zamana Yaad Rehta Hai

Ustad Hamid Ali Khan

YouTube loads when you open Listen.

Kahan Ahl-e-Mawaddat Ko Zamana Yaad Rehta Hai

Ustad Hamid Ali Khan

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Kahan Ahl-e-Mawaddat ko zamana yaad rehta hai ×2
Faqeeron ko Muhammad ka gharana yaad rehta hai ×2
Kahan Ahl-e-Mawaddat ko zamana yaad rehta hai

Humein to Baab-e-Shehar-e-Ilm se khairat mili hai ×2
So har lamha humein woh aastana yaad rehta hai ×2
Kahan Ahl-e-Mawaddat ko zamana yaad rehta hai

Hum apne naam ki takhti lagana bhool sakte hain ×2
Alam Abbas ka ghar pe lagana yaad rehta hai ×2
Kahan Ahl-e-Mawaddat ko zamana yaad rehta hai

Kisi maidan mein paspa nahi hue hain woh jin ko ×2
Ali ke naam ka naara lagana yaad rehta hai ×2
Kahan Ahl-e-Mawaddat ko zamana yaad rehta hai

Hum aise hain musafir har parao mein jinhein logo ×2
Ali ka zikr sunna aur sunana yaad rehta hai ×2
Kahan Ahl-e-Mawaddat ko zamana yaad rehta hai

Tabarra sirf Ahl-e-Bait ke dushman ka dil cheeray ×2
Yeh aisa teer hai jis ko nishana yaad rehta hai ×2
Kahan Ahl-e-Mawaddat ko zamana yaad rehta hai

Safar mein ho, dahar mein ho, ke gehri neend mein Khurram ×2
Darein to Ya Ali lab pe sajana yaad rehta hai ×2
Kahan Ahl-e-Mawaddat ko zamana yaad rehta hai

Kahan Ahl-e-Mawaddat ko zamana yaad rehta hai ×2
Faqeeron ko Muhammad ka gharana yaad rehta hai ×2

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Year
2013
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.