Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Kazim Ka Janaza Hai

Mir Hasan Mir

2018Urdu
2018UrduImam Musa KazimShahadat Imam Musa Kazim
Kazim Ka Janaza Hai is a Noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Mir Takallum Mir, mourning the martyrdom of Imam Musa al-Kazim (a.s.). The verses describe the Imam's imprisonment in Baghdad, his funeral and the grief of the Ahlulbayt, with repeated lamentation over his bier being carried by labourers.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Musa Kazim
Occasion
Shahadat Imam Musa Kazim
Original
Urdu

Lyrics

Kazim Ka Janaza Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Kazim Ka Janaza Hai

Kazim Ka Janaza Hai

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Kazim Ka Janaza Hai

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Baab-e-Hawaij Maula ×6

Haye Imam Kazim, Imam ×2
Mazdooron ke kandhon par Kazim ka janaza hai ×3

Baghdad ke qaidi par ×2
Zindaan bhi rota hai

Mazdooron ke kandhon par Kazim ka janaza hai ×2

Is dard ne turbat mein Sajjad ko tadpaya
Zindaan se nikal kar bhi azaad na ho paya
Hai pehla janaza jo zanjeeron mein jakra hai

Mazdooron ke kandhon par Kazim ka janaza hai ×2

Haye, zanjeeron ko takti hai, shaanon ko hilati hai
Mayyat ko kabhi apni godi mein uthati hai
Ek haath hai pehlu par, lagta hai yeh Zahra hai

Mazdooron ke kandhon par Kazim ka janaza hai ×2

Zarre bhi lahu ro kar rudaad sunate hain
Qadmon ke nishan is ke zindaan mein batate hain
Yeh naz'a ke aalam mein kis tarah se tadpa hai

Mazdooron ke kandhon par Kazim ka janaza hai ×2

Jo log guzarte hain aapas mein yeh kehte hain
Ghar wale to Yasrab mein is qaidi ke rehte hain
Phir is ke janaze par yeh kaun zaeefa hai

Mazdooron ke kandhon par Kazim ka janaza hai ×2

Kehti hai koi Bibi, hai waqt museebat ka
Ab jald Madine se aa ja, aye Raza aa ja
Be-gor-o-kafan kab se, beta tera baba hai

Mazdooron ke kandhon par Kazim ka janaza hai ×2

Haye, har roz hi jaati hai woh turbat-e-Zahra par
Ja kar wahan kehti hai Masooma-e-Qum ro kar
Dadi, mere baba ko kya aap ne dekha hai

Mazdooron ke kandhon par Kazim ka janaza hai ×2

Shabbir ki ghurbat ka Noha yeh sunate hain
Sookhe hue lab us ke ummat ko batate hain
Is ne bhi dam-e-aakhir paani nahin paya hai

Mazdooron ke kandhon par Kazim ka janaza hai ×2

Ghurbat hai Takallum yeh Shabbir ki ghurbat si
Ek beti hai Yasrab mein Sughra ki tarah is ki
Is waaste mayyat ka rukh soo-e-Madina hai

Mazdooron ke kandhon par Kazim ka janaza hai ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Musa Kazim
Occasion
Shahadat Imam Musa Kazim
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.