Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf

Mir Hasan Mir

2026Urdu and Persian
2026Urdu and PersianImam Ali13 Rajab
Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf is a multilingual Manqabat for 13 Rajab 1447 AH (2026), performed by Mir Hasan Mir and Sajjad Muhammadi in praise of Imam Ali. Its Urdu and Persian verses include new poetry by Mir Takallum Mir and Agha-e-Imami, with an excerpt from Mir Anees. Read the Roman text, original Perso-Arabic script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2026
Occasion
13 Rajab, Wiladat Imam Ali
Original
Urdu and Persian

Lyrics

Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf

Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf

Mir Hasan Mir · Sajjad Muhammadi

YouTube loads when you open Listen.

Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf

Mir Hasan Mir · Sajjad Muhammadi

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya... Ali
Ya Ali...
Ya... Ali
Ali Maula, Maula
Ali Maula
Ali Maula, Maula
Ali Maula

Ali Ali Ya Maula ×3
Ali Ali Ya... Maula

Qalb-e-Man...
Ali Ali Ali Ali
Rooh-e-Man
Ali Ali Ali Ali
Jaan-e-Man
Ali Ali Ali Ali
Jaan-e-Man

Maulana Ali Ali ×3
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Dil Khincha Jaata Hai...
Dil Khincha Jaata Hai Har Baar Mera Unki Taraf...
Ali Ali Ali

Manam, Manam
Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf ×4

Maulana Ali Ali ×3
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Izn-e-Ma'bood Se Kaunain Chalata Hai Ali
Raat Ki Neend Se Suraj Ko Jagata Hai Ali
Dars-e-Tauheed Farishton Ko Sikhata Hai Ali
Do Jahan Mein Jahan Dekho Nazar Aata Hai Ali
Tasbeeh-am... Ali Ali
Taqreer-am... Ali Ali
Taqdeer-am... Ali Ali
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula
Mere Seene Mein Hai Bajti Yehi Naubat, Yehi Daff

Manam, Manam
Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf ×2

Phir Sunenge Usi Andaaz Mein, Haider Haider
Sahib-ul-Asr Ki Aawaaz Mein, Haider Haider
Aasmaanon Se Yeh Isa Ki Sada Aati Hai
Ho Naye Saal Ke Aaghaaz Mein, Haider Haider Haider
Mere Lab Par Ho... Ali Ali
Har Ek Ghar Ghar Ho... Ali Ali
Bas Ab Khul Kar Ho... Ali Ali
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Ik Taraf Saara...
Ik Taraf Saara Zamana Hai, Ali Ek Taraf...

Manam, Manam
Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf

Daaman Ko Aansuon Se Bhigoyega Saal Bhar
Apne Gunah Kandhon Pe Dhoyega Saal Bhar
Terah Rajab Jo Kaabe Ki Soorat Nahin Hansa
Soorat Nahin Hansa
Woh Aadmi Naseeb Ko Royega Saal Bhar
Kehti Hai Kaabe Ki Deewar Ba-Sad Izz-o-Sharaf
Ali Ali Ali

Ali Ali Ali
Dil Ali, Dilbar Ali, Sarwar Ali
Raah Ali, Rahbar Ali, Mahshar Ali
Jaan Ali, Janan Ali, Eemaan Ali
Rooh Ali, Raihan Ali, Rizwan
Allah Allah Allah

Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf ×2
Maulana Ali Ali ×3
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Dil Ke Har Saaz Ki Dhadkan Mein Ali Rehta Hai
Meri Aawaaz Mere Fann Mein Ali Rehta Hai
Bhairavi Mein Mere Aiman Mein Ali Rehta Hai
Dil Ki Dhammal Ki Jhan Jhan Mein Ali Rehta Hai
Irfaan-am... Ali Ali
Qur'an-am... Ali Ali
Eemaan-am... Ali Ali
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Ek Hi Dar Pe...
Ek Hi Dar Pe Sada Rehta Hoon Kashkol Ba-Kaf
Ali Ali Ali

Raah-e-Ali, Raah-e-Khuda
Raah-e-Ali, Raah-e-Khuda
Ae Dil Biya, Bismillah
Ae Dil Biya, Bismillah
Ism-e-Ali, Hazrat-e-Rahman Ali
Baatin-e-Noorani-ye-Qur'an Ali
Nafs Ali, Rooh Ali, Jaan Ali
Munkir-e-Tu Neest Musalman Ali
Banda-ye-Allah Shudam Ba Ali
Ya Ali Yo, Ya Ali Yo, Ya Ali ×2

Qudsiyam Gard-e-Tawaf-e-Haramat Az Do Taraf
Ali Ali Ali
Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf ×2

Meri Izzat Meri Dastaar Bhi Ishq-e-Haider
Meri Khamoshi Bhi, Guftaar Bhi Ishq-e-Haider
Hai Meri Dhaal Bhi, Talwaar Bhi Ishq-e-Haider
Dosti Ka Meri Meyaar Bhi Ishq-e-Haider
Jannat Mein... Ali Ali
Turbat Mein... Ali Ali
Sangat Mein... Ali Ali
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Dushman-e-Fatima
Dushman-e-Fatima Zahra Hai Faqat Mera Hadaf

Haq Ka Irfaan...
Haq Ka Irfaan Jo Paaya To Ali Yaad Aaya ×2
Dil Mein Qur'an...
Dil Mein Qur'an Samaaya To Ali Yaad Aaya
Haq Ka Irfaan Jo Paaya To Ali Yaad Aaya

Apne Ghar Se Main Chala Karke Iraada Hajj Ka
Thi Yeh Niyyat Ke Karunga Main Tawaf-e-Kaaba
Kaaba Jab Saamne...
Kaaba Jab Saamne Aaya To Ali Yaad Aaya
Yaad Aaya...

Ek Hi Durr Hai...
Ek Hi Durr Hai Ali Jiska Yeh Kaaba Hai Sadaf
Ali Ali Ali

Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf ×2

Meri Parwaaz Se Kotaah-Nazar Jalte Hain
Log Kuch Kar Nahin Sakte Hain Magar Jalte Hain
Ya Ali Keh Ke Wahan Se Main Guzar Jaata Hoon
Jahan Jaate Hue Jibreel Ke Par Jalte Hain
Daanayi... Ali Ali
Sachchayi... Ali Ali
Daraayi... Ali Ali
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Badshaahon Ko Bhi Haasil Nahin Hota Yeh Sharaf
Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf

Maulana Ali Ali ×3
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Naaji-ye-Nooh-e-Nabi Az Del-e-Darya Boodi
Shab-e-Me'raj Tu Dar Aalam-e-Baala Boodi
Hame Deedan Be Yek Shab Tu Chehel Jaa Boodi
Dar Do Aalam Tu Faqat Laayeq-e-Zahra Boodi
Jangawar... Ali Ali
Sar Lashkar... Ali Ali
Haq Haider... Ali Ali
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Naam-e-Zebaan-e-Tu Maula Be Azaan Daad-e-Sharaf
Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf

Ya Ali, Ya Ali, Ya Ali ×2

Wahan Qadam Ka Hai Kya Kaam, Ae Adab, Tauba
Saron Se Chalne Ke Qaabil Hain Kooche-Haaye-Najaf

Mili Angoothi Bhi Waisi Hi, Tha Nageen Jaisa
Najaf Baraaye Ali Tha, Ali Baraaye Najaf
Idhar Se Koshish-e-Kaamil Hai Aur Udhar Se Kashish
Anees, Hum Na Rahenge Kahin Siwaaye Najaf

Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf ×2

Lafz-o-Ma'ni Hai Na Abjad Hai Ali Se Aage
Koi Manzil Hai Na Maqsad Hai Ali Se Aage
Shehr-e-Tauheed Ki Sarhad Hai Ali Se Aage
Sirf Bandon Mein Muhammad Hai Ali Se Aage
Taaron Mein... Ali Ali
Paaron Mein... Ali Ali
Yaaron Mein... Ali Ali
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Zikr-e-Haider Hi, Takallum, Hai Zabaan Ka Masraf
Manam Ghulam-e-Hazrat-e-Shah-e-Najaf
Shah-e-Najaf

Ali Ali Ali
Dil Ali, Dilbar Ali, Sarwar Ali
Raah Ali, Rahbar Ali, Mahshar Ali
Jaan Ali, Janan Ali, Eemaan Ali
Rooh Ali, Raihan Ali, Rizwan
Allah Allah Allah
Maulana Ali Ali ×3
Ali Maula, Ali Maula, Ali Maula

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2026
Personalities
Imam Ali, Imam Mahdi, Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad
Occasion
13 Rajab, Wiladat Imam Ali
Themes
Praise of Imam Ali, Wilayat of Imam Ali, Devotion to Shah-e-Najaf, Birth of Imam Ali
Original language
Urdu and Persian

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.