Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Wo Ali Hota Hai

Mir Hasan Mir

2026Urdu
2026UrduImam Ali13 Rajab
Wo Ali Hota Hai is an Urdu Manqabat recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Hasnain Akbar, associated with the 2026 devotional season for the birth anniversary of Imam Ali (AS). The Kalam celebrates the virtues, courage, devotion and spiritual rank of Imam Ali through references to the Night of Hijrah, his birth in the Kaaba, and his unwavering faith. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2026
Occasion
13 Rajab, Wiladat Imam Ali
Original
Urdu

Lyrics

Wo Ali Hota Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Wo Ali Hota Hai

Wo Ali Hota Hai

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Wo Ali Hota Hai

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Ali ×2
Ali Ali
Wo Ali Hota Hai ×4

Jo Khudai Ko Chalaye Woh Ali Hota Hai
Kaam Nabiyon Ke Jo Aaye Woh Ali Hota Hai

Ek Shab Sone Ki Qeemat Mein Khuda Ki Marzi
Shab-e-Hijrat Jo Kamaye Woh Ali Hota Hai

Mil Ke Kaaba Jo Banaein Woh Nabi Hote Hain
Aur Kaabe Mein Jo Aaye Woh Ali Hota Hai

Roz-e-Mehshar Jise Allah Adalat Ke Liye
Apni Kursi Pe Bithaye Woh Ali Hota Hai

Ban Ke Mehman Jo Meraj Pe Jaye Woh Nabi
Haath Jo Aa Ke Milaye Woh Ali Hota Hai

Ek Allah Ke Darbar Mein Sajde Ke Siwa
Jo Kahin Sar Na Jhukaye Woh Ali Hota Hai

Aasmanon Se Utari Hui Talwar Ko Bhi
Waar Karna Jo Sikhaye Woh Ali Hota Hai

Apne Dushman Ko Bhi Hijrat Ke Haseen Bistar Par
Jo Muhammad Nazar Aaye Woh Ali Hota Hai

Hum Ko Bas Itna Pata Hai Ke Jo Hubdaron Ka
Qabr Tak Saath Nibhaye Woh Ali Hota Hai

Khol Kar Khutbon Se Takhleeq Ke Parde Khud Jo
Kun Ke Asbab Bataye Woh Ali Hota Hai

Lauh-e-Mahfooz Se Jibraeel-e-Ameen Ko Akbar
Wahi Parhna Jo Sikhaye Woh Ali Hota Hai

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2026
Personalities
Imam Ali, Prophet Muhammad
Occasion
13 Rajab, Wiladat Imam Ali
Themes
Praise of Imam Ali, Wilayat of Imam Ali, Night of Hijrah, Birth of Imam Ali in the Kaaba, Virtues of Imam Ali
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.