Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Manqabat

Ali Kaifa Bashar

Kazmi Brothers

2025Urdu, Punjabi, Arabic, Persian
2025Urdu, Punjabi, Arabic, PersianImam Ali13 Rajab
Ali Kaifa Bashar is a 2025 manqabat by Kazmi Brothers in praise of Imam Ali (AS), combining Urdu and Punjabi poetry with an Arabic opening and Persian verses about his spiritual station. Read Roman transliteration, original-script lyrics and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Manqabat
Year
2025
Personalities
Imam Ali
Occasion
13 Rajab, Wiladat Imam Ali
Original
Urdu, Punjabi, Arabic, Persian
Album
Ali (a.s) Kaifa Bashar - Single

Lyrics

Ali Kaifa Bashar Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ali Kaifa Bashar

Ali Kaifa Bashar

Kazmi Brothers

YouTube loads when you open Listen.

Ali Kaifa Bashar

Kazmi Brothers

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ha Ali Bashar, Kaifa Bashar
Rabbuhu Feehi Tajalla Wa Zahar
Bas Ek Woh Hai Jo Sab Jaanta Hai
Is Ki Haqeeqat Ko Rabb Jaanta Hai
Woh Aql-e-Adam Se Hai Balatar

Hum Se Kyun Pooch Rahe Ho Ke Kahan Par Hai Ali
Mera Maabood Jahan Par Hai Wahan Par Hai Ali
Arsh Ka Taj Ali
Shab-e-Meraj Ali
Bole Muhammad, Wali Hi Wali Tha
Dekha Jahan Par Ali Hi Ali Tha
Parde Ke Andar Bhi Tha Jalwa-Gar

Hakim-e-Kul Bhi Hai Woh, Shohar-e-Zahra Bhi Hai Woh
Ek Hi Waqt Mein Banda Bhi Hai, Maula Bhi Hai Woh
Arsh Par Bhi Hai Ali
Farsh Par Bhi Hai Ali
Bach Kar Ali Se Kahan Ja Sakega
Turbat Ke Andar Bhi Haider Milega
Ho Ja Khabardar Ae Be-Khabar

Rizq Bhi Deta Hai, Marzooq Bhi Kehlata Hai
Khalq Bhi Karta Hai, Makhlooq Bhi Kehlata Hai
Kuch Ne Masjood Kaha
Kuch Ne Maabood Kaha
Sajde Se Us Ke Khula Majra
Noor-e-Khuda Hai Ali, Kab Khuda Hai
Phir Bhi Na Samjhe Ise Kam-Nazar

Ali Naal Bughz Rakhein Aivein Ee Tu Nikammiya
Jithe Tera Hajj Hove, Uthe Ali Jammiya

Jis Mein Quran Ikattha Hai Woh Nuqta Hai Ali
Jalwa Allah Ka Jis Mein Hai Woh Banda Hai Ali
Durr-e-Nayab Ali
Mera Arbab Ali
Dono Jahan Ko Wohi Palta Hai
Nabiyon Ki Mushkil Ko Bhi Talta Hai
Naam-e-Ali Hai Bara Ba-Asar

Mazhar-e-Kibriya Ali, Jaan-e-Man

Ta Soorat-e-Paivand-e-Jahan Bood, Ali Bood
Ta Naqsh-e-Zameen Bood-o-Zaman Bood, Ali Bood
Ham Awwal-o-Ham Akhir-o-Ham Zahir-o-Batin
Ham Abid-o-Ham Maabad-o-Maabood, Ali Bood

Pehle Adam Se Bhi Pehle Ka Hai Hazir Nazir
Dahr Mein Terah Rajab Ko Woh Hua Hai Zahir
Noor-e-Awwal Hai Ali
Zaat-e-Akmal Hai Ali
Bas Ek Muhammad The, Rabb-e-Jali Tha
Jab Kuch Nahi Tha, Wujood-e-Ali Tha
Kun Kiya Hai Hukm-e-Ali Ka Safar

Baat Yeh Mir Takallum Ki Samajh Mein Aayi
Us Ke Ausaf Gine Ja Nahi Sakte Bhai
Kaun Yeh Jaane Bhala
Kul-e-Iman Hai Kya
Yeh Raaz Hai Kab Kisi Par Khula Hai
Arif-e-Ali Ka Nabi Ya Khuda Hai
Hairan Ab Tak Hain Jinn-o-Bashar

Details

Lyrics Details

Category
Manqabat
Year
2025
Personalities
Imam Ali
Occasion
13 Rajab, Wiladat Imam Ali
Original language
Urdu, Punjabi, Arabic, Persian
Album
Ali (a.s) Kaifa Bashar - Single

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.