Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Pani Sakina Ko Pilao

Syed Taseer Raza Zaidi

2026Urdu
2026UrduHazrat AbbasMuharram
Pani Sakina Ko Pilao is a 2026 Urdu Noha recited by Syed Taseer Raza Zaidi, with a special appearance by Syed Raza Abbas Zaidi and poetry by Zeeshan Abidi. It portrays the thirsty children of Karbala waiting for Hazrat Abbas to bring water, and Bibi Sakina's grief when his bloodstained standard returns. Read the original Urdu, Roman Urdu transliteration and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Pani Sakina Ko Pilao Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Pani Sakina Ko Pilao

Pani Sakina Ko Pilao

Syed Taseer Raza Zaidi · Syed Raza Abbas Zaidi

YouTube loads when you open Listen.

Pani Sakina Ko Pilao

Syed Taseer Raza Zaidi · Syed Raza Abbas Zaidi

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ya Abbas, Ya Abbas
Tumhi Se Aas Lagaye Udaas Baithe Hain
Yeh Pyaase Bachche Jo Zainab Ke Paas Baithe Hain
Abbas Kahan Ho, Abbas Kahan Ho

Pani Zara Khaimon Mein Lao Ghazi
Pani Sakina Ko Pilao Ghazi
Bachchon Ko Tum Chehra Dikhao Ghazi
Pani Sakina Ko Pilao

Ab Tak Na Pyaas Bujhi
Khaime Ke Dar Pe Khadi
Roti Hai Kooza Uthaye
Asghar Ko Dekhti Hai
Sab Se Yeh Poochhti Hai
Mere Chacha Kyun Na Aaye
Pani Use La Kar Pilao Ghazi

Bolo Abbas-e-Jari
Kyun Itni Der Hui
Bachchon Ko Aa Kar Sambhalo
Karte Hain Yaad Tumhein
Phaila Ke Haath Unhein
Seene Se Apne Laga Lo
Dekha Nahin Kab Se, Aa Jao Ghazi

Kooze Utha Lo Sabhi
Aate Hi Honge Abhi
Mashkiza Khaimon Mein Le Ke
La Denge Pani Humein
Rokega Kaun Unhein
Ammu Bahadur Hain Mere
Toote Na Dil Bachchon Ka, Aao Ghazi

Aa Jao Laut Ke Ghar
Neend Aa Rahi Hai Magar
Soti Nahin Hai Sakina
Tum Ko Maloom Hai Sab
Soti Hai Paas Hon Jab
Tum Aur Baba Ka Seena
Lori Use Aa Kar Sunao Ghazi

Jab Se Yeh Shor Utha
Abbas Maara Gaya
Tooti Hai Sab Pe Qayamat
Karte Hain Ro Ke Dua
Dariya Pe Hon, Ae Khuda
Ammu Hamare Salamat
Hausla Bachchon Ka Badhao Ghazi

Maqtal Mein Jo Bhi Gaya
Wapas Na Laut Saka
Masoom Ghabra Rahe Hain
Dikhta Nahin Hai Alam
Dil Mein Saqqa-e-Haram
Kya Kya Khayal Aa Rahe Hain
Phir Se Zara Parcham Uthao Ghazi

Dariya Pe Sab Ne Dekha
Parcham-e-Abbas Utha
Bali Sakina Ne Kaha
Dekho Woh Aate Hain Chacha
Jab Woh Alam Paas Aaya
Bachchon Ka Dil Toot Gaya
Khoon Mein Dooba Woh Alam
Rakh Ke Shah-e-Deen Ne Kaha

Qatl-e-Alamdar Ho Gaya
Haye Hum Ghareeb Ho Gaye
Sher Jaisa Bhai Tha Mera
Haye Hum Ghareeb Ho Gaye
Bachchon Ne Kooze Phenke
Ro Ke Alam Se Lipte
Dekho Ae Zeeshan-o-Raza
Deta Hai Taseer Sada
Yaad Woh Manzar Aaya
Shor Tha Khaimon Mein Bapa

Haye Sakina, Haye Pyaas
Haye Sakina, Haye Pyaas

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Personalities
Hazrat Abbas, Bibi Sakina, Sayyida Zainab, Imam Hussain, Ali Asghar
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Thirst of the children of Karbala, The water-skin of Hazrat Abbas, Grief at the return of the bloodstained standard
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.