Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Qafla Roko Ghazi

Mir Hasan Mir

2026Urdu
2026Urdu
Qafla Roko Ghazi is a powerful Noha recited by Mir Hasan Mir, with poetry by Mir Takallum. The Noha portrays Imam Hussain (a.s.) arriving at Karbala and asking Hazrat Abbas (a.s.) to stop the caravan, as the land of Karbala becomes the destined site of his martyrdom. The lyrics evoke the grief of Bibi Fatima (s.a.), the suffering of the Ahlulbayt, the martyrdom of Ali Asghar (a.s.), and the future mourning of Azadars and Zawwars at Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2026
Original
Urdu

Lyrics

Qafla Roko Ghazi Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Qafla Roko Ghazi

Qafla Roko Ghazi

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Qafla Roko Ghazi

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Rahwar-e-Hussaini jab thehra, aur ek qadam aage na barha
Kuch khaak utha ke haathon mein, Abbas se yeh Maula ne kaha
Sar apna yahan katwayenge, iss khaak pe hum so jayenge
Qafla roko Ghazi x2
Aa gayi Karb-o-Bala, qafla roko Ghazi

Aa gayi Karb-o-Bala, qafla roko Ghazi x2

Yeh safar khatam hua, yahi maqtal hai mera
Qafla roko Ghazi

Aa gayi Karb-o-Bala, qafla roko Ghazi x2

Sun ke Zehra ki buka, jaan chali jaati hai
Iss zameen se to mere khoon ki boo aati hai
Maa ki aati hai sada, dil bhi kehta hai mera
Qafla roko Ghazi

Apni manzil se kahin aage nahi jaana hai
Hum ko Sajjad ne, bhai, yahi dafnana hai
Roti behno se humein yahi hona hai juda
Qafla roko Ghazi

Sungh kar khaak ko, aisi hui riqqat taari
Inna lillah hua Sheh ke labon se jaari
Sajda-e-shukr kiya, mud ke bhai se kaha
Qafla roko Ghazi

Yeh zameen paon pakarti hai, mere ruk jao
Sar-khule aaye the, Jibreel, abhi ruk jao
Aye Sakina ke chacha, aa gaya amr-e-Khuda
Qafla roko Ghazi

Maqtal-e-Ishq ki jo maange woh qeemat de do
Yeh zameen naam pe ham, shakl-e-Nabi ke le lo
Kaun basta hai yahan, pooch lo ja ke zara
Qafla roko Ghazi

Dekho woh chaand, mujhe aise hi kham hona hai
Iss taraai mein mera baazu qalam hona hai
Khoon mein doobega yahan ek bhatiji ka chacha
Qafla roko Ghazi

Naam tum kar na rakam saare azadaron ke
Iss jagah aayenge ab qaafile zawwaron ke
Mera matam hoga, aayenge Ahl-e-Aza
Qafla roko Ghazi

Chhay mahino se safar mein hai musalsal Asghar
Kaan mein keh de koi, aa gaya ab aakhri ghar
Arey teer khayega yahan woh mera Maah-e-Liqa
Qafla roko Ghazi

Haaye, ek woh din tha Takallum, ke Ali ki beti
Berida gyarah Muharram ko yahan se jo chali
Roke deti thi sada Dukhtare-Sher-e-Khuda
Qafla roko Ghazi

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2026
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.