Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Salam

Quran Ali se, Khana-e-Kaaba Ali se hai

Syed Ghazanfar Ali Jaffery

Urdu
Urdu
Quran Ali Se, Khana-e-Kaaba Ali Se Hai is a Salaam centered on Imam Ali (AS), Wilayat, Mawaddat, Najaf, Naad-e-Ali, and the eternal stand of Imam Hussain (AS) against oppression. This kalaam is popularly recited by Syed Ghazanfar Ali Jaffery and connects the spiritual authority of Ali with the message of Karbala and the courage of the Ahlulbayt (AS). Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Salam
Original
Urdu

Lyrics

Quran Ali se, Khana-e-Kaaba Ali se hai Lyrics

WA

Quran Ali se, Khana-e-Kaaba Ali se hai
Hum kya batayen aap ko kya kya Ali se hai

Hum us ko maan lenge Muhammad ka jaan-nasheen
Woh naam to batao jo aala Ali se hai

Maana ke Roz-e-Hashar badi tashnagi ka hai
Hum kyun darein ke saath Nawasa Nabi ka hai

Bhatkenge hum kabhi na mawaddat ki raah se
Naqsha hamare paas Najaf ki gali ka hai

Khyber mein hai Nabi ki sada Ya Ali Madad
Pehla asar yeh nuskha-e-Naad-e-Ali ka hai

Aur insaan samajh ke dushman-e-Jafar inayatein
Yeh hausla agar hai to Aal-e-Nabi ka hai

Jis tarah iqtidar se takra gaye Hussain
Qissa yeh ek din ka nahi har sadi ka hai

Details

Lyrics Details

Category
Salam
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.