Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Haji Ansar Party

Urdu
Urdu
Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam is a Noha recited by Haji Ansar Party and written by Adil Malik. This deeply emotional kalaam reflects on the suffering of Imam Zainul Abidin (AS) after Karbala, the captivity of the Prophet’s family, the grief of Bibi Zainab (SA), and the tragedy of Shaam and the prison. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Language
Urdu
Original
Urdu

Lyrics

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Haji Ansar Party

YouTube loads when you open Listen.

Rone Ke Liye Kaafi Hai Sajjad Tera Naam

Haji Ansar Party

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Rone ke liye kaafi hai Sajjad tera naam
Tu shahenshah-e-dard hai, batla rahi hai Shaam

Chala bekason ka kaarvan, bemaar logon ka saarban
Hai sang sar-e-uriyan, Shah-e-La-Fata ki betiyan
Karb-o-Bala ke dasht mein barpa hai kohraam
Rone ke liye kaafi hai...

Zainab pukari be-watan, bhai mera hai be-kafan
Karde isay koi dafan, mere haathon mein baandhi rasan
Haye kaise suna hoga bemaar ne paighaam
Rone ke liye kaafi hai...

Mastooron mein ek mard hai, ghairat se chehra zard hai
Karbal ki zameen gard hai, Zainab ka dil mein dard hai
Rota hai sar jhuka ke, karta nahi kalaam
Rone ke liye kaafi hai...

Mushkil thi badi woh ghadi, darbar mein Zainab khadi
Shabbir ke lab par chhadi, Sajjad ne pehni kadi
Darbar-e-Yazeedi ke larze thay dar-o-baam
Rone ke liye kaafi hai...

Kat jaate Sayyadon ke sar, Zainab na jaati dar-badar
Bemaar ka tukde jigar, rota hai lahoo har nagar
Har manzilon pe tadapna Sajjad tera kaam
Rone ke liye kaafi hai...

Zindan siyah-posh hai, tanhaai ki aaghosh hai
Abid kahe na hosh hai, dam toota hai khamosh hai
Ummat ne Sakina ko diya maut ka inaam
Rone ke liye kaafi hai...

Karbal ki soyi khaak par, Adil lahoo poshaak par
Charche hue aflaak par, Sultan-e-Loulaak par
Hai jin-o-malayak bhi Sajjad ke khuddaam
Rone ke liye kaafi hai...

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Languages
Urdu
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.