Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Akhri Sajda

Nadeem Sarwar

2025Urdu
2025Urdu
Akhri Sajda is a deeply emotional Noha about the final sajda of Imam Hussain (AS) in Karbala. The kalaam reflects the loneliness of Hussain after the martyrdom of Akbar, Abbas, and his companions, the grief inside the tents, and his complete submission to Allah in the final moments of sacrifice. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu lyrics, and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2025
Language
Urdu
Original
Urdu

Lyrics

Akhri Sajda Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Akhri Sajda

Akhri Sajda

Nadeem Sarwar

YouTube loads when you open Listen.

Akhri Sajda

Nadeem Sarwar

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Hilne laga Arsh-e-Bareen
Rone lagi Karbala
Lakhon qaatilon mein tha
Magar ye sach hai ba-Khuda
Koi na Hussain aur
Khuda ke darmayan tha
Sajde mein Hussain the
Labon pe thi yehi sada

Le ae mere Allah ab tere hawale
Malik tera banda ab tere hawale
Arre zindagi se sair ho chuka
Kar raha hon akhri sajda

Subhana Rabbi Al-Aala

Asar ki sunta hon sada-e-azan
Akhri dena hai mujhe imtehan
Charon taraf teeron, sina, barchhiyan
Hain ye mere qatl ki tayyariyan

Jante hain kis ka nawasa hon main
Jante hain kis liye aaya hon main
Tera hi paigham sunata hon
Phir bhi sitam ka hi nishana hon main

Na mera ghar baar na lashkar raha
Arre Akbar o Abbas ka gham kha gaya
Itne sitam dil pe main sehta raha
Shukr hai wada to wafa ho gaya

Yaad rakhega ye zamana sada
Kaise hamein dasht mein loota gaya
Kaise hamein nehr pe pyasa rakha
Kaise mera akhri sajda hua

Khaimon mein kohraam hai mere Khuda
Betiyon behno mein hai matam bapa
Ghash mein hai Sajjad akela mera
Baad mere in ka hai tu aasra

Lo dam-e-aakhir chali aai hain Maa
Sath mein aaye hain mere Baba Jan
Bhai Hassan khaak pe girya kuna
Dekhte hain Nana mera imtehan

Jaise hi sar khaak pe Sheh ne rakha
Shimr-e-Laeen Shah ki janib badha
Larzi zameen, khoon barasne laga
Akhri Shabbir ki goonji sada

Le aye mere ab tere hawale
Malik tera banda ab tere hawale
Arre zindagi se sair ho chuka
Kar raha hoon akhri sajda

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2025
Languages
Urdu
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.