Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ae Mere Bhai Raza

Mir Hasan Mir

2016Urdu
2016UrduImam RazaMuharram
Ae Mere Bhai Raza is a Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry attributed to Mir Takallum. Sayyida Fatima Masooma calls to her brother Imam Ali Raza from Qum, longing to reach Mashhad. Explore the Roman Urdu lyrics, Urdu text, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Raza
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Lyrics

Ae Mere Bhai Raza Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ae Mere Bhai Raza

Ae Mere Bhai Raza

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Ae Mere Bhai Raza

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ae mere Bhai Raza ×2
As-salaamu alaika ya Ghareeb-al-Ghuraba
Ya Mu'een az-Zu'afa wal-Fuqara
As-Sultaan al-Arab wal-Ajam
Maula Ali ibn-e-Musa Raza
Ae mere Bhai Raza ×3
Ae Ghareeb-ul-Ghuraba, ae mere Bhai Raza ×2
Ro ke Masooma-e-Qum ×2 Qum se deti hain sada
Ae mere Bhai Raza

Tera deedaar nahin Bhai qismat mein meri
De hawaaon ko zara hukm, ae mere Ali
Sun loon aawaaz teri ×2 dil behal jaaye mera
Ae mere Bhai Raza

Dekhne aayi hoon main Qum mein soorat teri
Ae Ghareeb-ul-Ghuraba, dekh ghurbat meri
Koi batlaata nahin ×2 mujhko Mashhad ka pata
Ae mere Bhai Raza

Mujh pe jo beet gayi woh alam kuchh bhi nahin
Saamne Zainab ke mere gham kuchh bhi nahin
Main na bazaar gayi ×2 na chheeni meri rida
Ae mere Bhai Raza

Jab se pahunchi hoon main Qum, dil hai qaabu mein kahaan
Ghamzada aaye nazar shehr ke peer-o-jawaan
Dekh kar kaale alam ×2 dil dehalta hai mera
Ae mere Bhai Raza

Hoon yateema lekin woh yateema to nahin
Qaidi Baba ki qasam main Sakina to nahin
Jiske gauhar bhi chhine ×2 haaye jiska daaman bhi jala
Ae mere Bhai Raza

Kis jagah kaante chubhe, kis jagah thak ke giri
Poochho chhaalon se zara kaise meelon main chali
Zakhm pairon ke tumhein ×2 gham sunaayenge mera
Ae mere Bhai Raza

Saath jaayega mere yeh gham-e-tanhaayi
Tum bhi Akbar ki tarah nahin laute Bhai
Roz Sughra ki tarah main jalaati hoon diya
Ae mere Bhai Raza

Qum se Mashhad jo gaya zaair-e-Maula Raza
Ae Takallum woh yahi le ke paighaam chala
Raasta teri behen ×2 ab takti hai tera
Ae mere Bhai Raza

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Raza
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.