Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ay Muntakim Kab Aaoge

Mir Hasan Mir

2012Urdu
2012UrduImam MahdiMuharram
Ay Muntakim Kab Aaoge, recited by Mir Hasan Mir (Volume 2012), is a noha about supplication to the awaited imam. Read the Roman Urdu, Urdu script and English translation, preserving the original stanza order and refrains.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2012
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Lyrics

Ay Muntakim Kab Aaoge Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ay Muntakim Kab Aaoge

Ay Muntakim Kab Aaoge

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Ay Muntakim Kab Aaoge

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Al-ajal ×5
Ae Muntakim kab aaoge, ae Muntazar kab aaoge
Yabnal Hasan, kujaai, Khuda kuna ke biyaai
Yabnal Hasan, kahaan ho?

Zahra ki andheri turbat pe kab shamma jalaane aaoge
Tooti hui qabron ko Maula kis roz banaane aaoge ×2
Ae Muntakim kab aaoge

Be-sheer ki nanhi mayyat ko turbat se nikaala tha jisne
Ya Mehdi, Ya Mehdi
Kab uske laashe ko Maula naize pe uthaane aaoge ×2
Ae Muntakim kab aaoge

Hai chaar baras ki ek Zahra, zindaan mein sadiyon se qaidi
Ya Mehdi, Ya Mehdi
Kab Bait-ul-Huzn se tum usko azaad karaane aaoge ×2
Ae Muntakim kab aaoge

Dhaaya gaya rauza Daadi ka, dekha hai ujarta Samarra
Ya Mehdi, Ya Mehdi
Jo daagh mile hain ghaibat mein kab unko dikhaane aaoge ×2
Ae Muntakim kab aaoge

Woh Shaam aur Koofa ke raste, woh naaqon se girte bachche
Ya Mehdi, Ya Mehdi
Hai kaun kahaan par dafn hua, kab naam bataane aaoge ×2
Ae Muntakim kab aaoge

Masooma-e-Qum aur Maula Raza, hamshakl-e-Payambar aur Sughra
Ya Mehdi, Ya Mehdi
Yeh bhai behan hain bichhre hue, kab unko milaane aaoge ×2
Ae Muntakim kab aaoge

Beton ke janaazon par Akbar, Akbar ke liye jo roti hai
Ya Mehdi, Ya Mehdi
Kab ujri hui un maaon ko insaaf dilaane aaoge ×2
Ae Muntakim kab aaoge

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2012
Personalities
Imam Mahdi, Sayyida Fatima Zahra, Bibi Sakina, Ali Asghar, Imam Raza
Occasion
Muharram
Themes
Supplication to the awaited Imam
Original language
Urdu
Album
Shaam Ne Mardiya — Volume 2012

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.