Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Aaj Shah-e-Bekas Ki Aakhri Sawari Hai

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Aaj Shah-e-Bekas Ki Aakhri Sawari Hai is a traditional Urdu marsiya recounting Imam Hussain's (AS) final departure for the battlefield of Karbala and his emotional farewell to Bibi Zainab (SA). The elegy remembers the fallen companions, the suffering of the Prophet's family, and the sorrow of their last moments together. Read the eight stanzas with Roman Urdu, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Aaj Shah-e-Bekas Ki Aakhri Sawari Hai Lyrics

WA

Aaj Shah-e-Bekas Ki Aakhri Sawari Hai
Ghore Ko Mangaya Hai, Kooch Ki Tayari Hai
Mar Chuke Rafiq-o-Yaar, Ab Isi Ki Bari Hai
Ahl-e-Bait-e-Ismat Mein Shor, Aah-o-Zari Hai

Peet Sar Yeh Kehte Hain, Ghar Nabi Ka Lutta Hai
Fatima Ke Pyare Ka Hum Se Saya Chhootta Hai

Kis Se Hum Karein Faryad, Mustafa Nahi Jeete
Kaun Daad De Apni, Murtaza Nahi Jeete
Fatima Nahi Jeeteen, Mustafa Nahi Jeete
Jin Ka Haaye Tha Hum Ko, Aasra Nahi Jeete

Ab Madad Ghareebon Ki Kaun Karne Wala Hai
La-Watan Se Qismat Ne Dushmanon Mein Dala Hai

Khoob Koofiyon Ne Ki Yaan Hamari Mehmani
Ba-Wajood Darya Ke Band Kar Diya Paani
Aal-e-Mustafa Ki Kya Thi Yeh Martabadari
Ghamkhwaron Ko Khilwai Khanjaron Ki Gurrani

Qasd-e-Kushtan-e-Shabbir Jo Bhi Hain Laeen Karte
Us Ke Khoon-e-Nahaq Se Darguzar Nahi Karte

Jaante Hain Ahmad Ka Pyara Yeh Nawasa Hai
Beta Hai Meer-e-Kausar Ka, Teen Din Se Pyasa Hai
Furqat-e-Azeeza Mein Jeene Se Nirasha Hai
Is Ghareeb Ka Koi, Kya Nahi Shanasa Hai

Kanp Jaati Sehra Par Garmi Si Hawa Lagti
Ab Koi Nahi Haaye Haaye Bolta Khuda Ab Bhi

Baraha Muhammad Ke Kandhe Par Charha Dekha
Sher-e-Haq Ke Seene Se Sab Ne Hai Laga Dekha
Aksaron Ne Hoga Is Ka Martaba Dekha
Tashna-Lab Musafir Ka Ab Gunah Kya Dekha

Koofiyon Ke Pai Dar Pai Khat Talab Ke Aa Pahunche
Hum Ne Kya Burai Ki Jo Likhe Pe Aa Pahunche

Aakhirash Pehan Poshak Murtaza Ka Woh Jaya
Ahl-e-Bait Se Rukhsat Hone Jis Ghari Aaya
Pehle Sab Se Zainab Ko Dekh Kar Yeh Farmaya
Roti Kyun Ho, Zanu Par Sar Ko Kyun Hai Nivraya

Sar Katane Jata Hai Ran Mein Be-Watan Bhai
Aao Ab Gale Mil Lo, Phir Kahan Behen Bhai

Bhai Se Yeh Sun Zainab Dahare Marti Aayi
Sar Se Paon Tak Pehle Le Balaein Maan Jayi
Daal Bahein Gardan Mein Khoob Royi Dukh Payi
Matha Rakh Ke Kandhe Par Bhai Ke Yeh Chillayi

Haaye Bhai Sahab Tum Hum Ko Chhore Jate Ho
Fatima Ke Ghar Ko Kyun Khak Mein Milate Ho

Aaj Tak Juda Tum Se Main Na Tha Hua Behna
Par Hai Ab Bichharwati Bhai Ki Qaza Behna
Tum Se Chhootne Ka Hai Mujh Ko Gham Bara Behna
Par Nahi Hai Qismat Se Zor Kuchh Mera Behna

Mujh Se Chhoot Ke Jannat Mein Mera Qafila Pahuncha
Sab Ko Hogi Hairani Main Agar Na Ja Pahuncha

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.