Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Abbas Ke Jo Nahar Pe Bazu Qalam Hue

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Abbas Ke Jo Nahar Pe Bazu Qalam Hue is a traditional Urdu marsiya depicting the martyrdom of Hazrat Abbas (AS) near the Euphrates and the grief of Imam Hussain (AS). The elegy describes Imam Hussain's journey to his wounded brother, accompanied by Ali Akbar (AS), and their final farewell. Read the seven stanzas with Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Abbas Ke Jo Nahar Pe Bazu Qalam Hue Lyrics

WA

Abbas Ke Jo Nahar Pe Bazu Qalam Hue
Sadme Se Ibn-e-Haider-e-Karrar Kham Hue
Sibt-e-Rasool Mورد-e-Ranj-o-Mihan Hue
Aawaz Di Hussain Ko, Majrooh Hum Hue

Khoon Mein Tarap Tarap Ke Yeh Ghamkhar Reh Na Jaye
Yeh Fikr Hai Ke Hasrat-e-Deedar Reh Na Jaye

Sunte Hi Is Sada Ke Shikasta Hui Kamar
Tarap Uthe, Gire, Na Sambhala Gaya Jigar
Kanpe Jo Paon, Thaam Liya Bazu-e-Pisar
Chillate The, Kaho Ali Akbar Chale Kidhar

Khursheed Kyun Chhupa Hai, Yeh Kya Wardaat Hai
Kuchh Soojhta Nahi Humein, Din Hai Ke Raat Hai

Ghurbat Mein Lut Gaya Mera Ghar Ae Jawan Pisar
Seedhi Na Hogi Ab Yeh Kamar Ae Jawan Pisar
Taza Hai Aaj Dagh-e-Pidar Ae Jawan Pisar
Kata Gaya Chhuri Se Jigar Ae Jawan Pisar

Abbas Kya Jahan Se Gaye Main Guzar Gaya
Bhai Hua Shaheed, Hussain Aaj Mar Gaya

Karta Hai Arz Baap Ko Thaame Hue Pisar
Dil Ko Zara Sambhaliye Ya Shah-e-Bahr-o-Bar
Zinda Abhi Hain Hazrat-e-Abbas-e-Namwar
Ghabraye Na, Ab Hai Tarai Qareeb Tar

Khadim Uthayega Jasad-e-Pash-Pash Ko
Chaliye Haram Mein Le Ke Bahishti Ki Laash Ko

Jis Dam Qareeb Laash Ke Laye Hussain Ko
Abbas Jaan-Ba-Lab Nazar Aaye Hussain Ko
Jarrar Sun Ke Tarpa Sada-e-Hussain Ko
Akbar Ne Haath Utha Ke Dikhaye Hussain Ko

Do Koh-e-Gham Ke Dil Pe Jo Ek Baar Gir Pare
Pehlu Mein Laash Ke Shah-e-Abrar Gir Pare

Bhai Ki Laash Bhai Ne Dekhi Jo Khoon Mein Tar
Umra Yeh Dil Ke Munh Ke Qareeb Aa Gaya Jigar
Bole Yeh Aankh Khol Kar Abbas-e-Namwar
Akbar Sambhalo Qibla-e-Alam Ko Baith Kar

Sadqe Hazar Jaan Imam-e-Ghayyur Ke
Mujh Ko Utha Ke Gird Phirao Huzoor Ke

Yeh Keh Ke Pa-e-Shah Ki Janib Barhaya Sar
Kanpe Lahu Bhari Hui Aankhon Ko Khol Kar
Tapke Mizhah Se Khoon Ke Qatre Idhar Udhar
Kis Yaas Se Hussain Pe Ki Aakhri Nazar

Manka Jari Ka Dhal Gaya Bhai Ki God Mein
Bhai Ka Dam Nikal Gaya Bhai Ki God Mein

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram, Ashura
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.