Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Ajeeb Kaam Kiya Tune Marhaba Zainab

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduSayyida ZainabMuharram
Ajeeb Kaam Kiya Tune Marhaba Zainab is an Urdu marsiya reflecting on Sayyida Zainab’s courage and protection of the captives after Karbala. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Ajeeb Kaam Kiya Tune Marhaba Zainab Lyrics

WA

Ajeeb Kaam Kiya Tunay Marhaba Zainab
Moeenay Maqsaday Sultanay Karbala Zainab
Husain Manzilay Haq Hain Toh Haq Numa Zainab
Woh Ibteda E Shahadat Toh Inteha Zainab
Baraye Naam Shaheedon Ka Naam Reh Jaata
Jo Ye Na Hoteen Adhoora Payam Reh Jaata

Woh Ilm O Sabr O Tahammul Rasool Ki Surat
Abu Turab Ki Seerat Batool Ki Surat
Woh Zabtay Ghum Hasan E Dil Malool Ki Surat
Husain Khush Ho Toh Khil Jaaye Phool Ki Surat
Imam Par Ye Fida Hain Imam Zainab Par
Durood Sibtay Nabi Par Salam Zainab Par

Akhi Ke Saath Kabhi Ghum Ko Ghum Nahi Samjha
Sitam Ko Bhai Ki Khatir Sitam Nahi Samjha
Ali Se Ghatkay Inhay Aik Dum Nahi Samjha
Husain Ne Bhi Inhay Maa Se Kum Nahi Samjha
Ye Bhai Woh Hai Ke Maana Behen Ko Maa Ki Tarha
Ye Woh Behen Hai Jo Bhai Ko Royi Maa Ki Tarha

Woh Run May Khatama E Panjetan Woh Hashr Ki Shaam
Zuhooray Shaamay Ghareebaa Hujoomay Lashkaray Aam
Khayam Jhulsay Huway Jin May Dil Jalon Ka Qayam
Ridayein Sar Pe Na Maqna Na Sar Parast Imam
Ye Baar Kis Se Uthay Shaahay Mashraqayn Ke Baad
Nida Ye Aayi Ke Zainab Toh Hain Husain Ke Baad

Woh Nannay Nannay Se Bachay Woh Faaqa Kash Sadaat
Woh Qatl Gaah May Laashon Ke Dhayr Taaba Furaat
Woh Saayen Saayen Ki Awaaz Woh Andheri Raat
Ali Ki Beti Thi Pehray Pe Ya Khuda Ki Zaat
Shikast Ka Jo Na Tha Khauf Qalbay Khasta Ko
Utha Liya Tha Bas Aik Naiza E Shikasta Ko

Jo Rodiya Koyi Bacha Toh Ayeen Daurh Ke Paas
Thapak Ke Usko Sulaati Raheen Ba Hasrat O Yaas
Nikal Ke Khaimay Se Baahar Phir Ayeen Bay Waswas
Haram May Ban Gayeen Zainab Thilaya May Abbas
Ye Haal Tha Ke Aik Awaazay Taiz Paa Aayi
Sukootay Dasht May Taapon Ki Si Sada Aayi

Nazar Utha Ke Jo Dekha Ba Deeda E Qahaar
Toh Baag Utha Ke Chala Aaraha Tha Aik Sawaar
Buland Karkay Woh Naiza Pukar Utheen Aik Baar
Woh Kaun Aata Hai Bas Roklay Waheen Rehwaar
Na Raasta Na Maqamay Sipaah Hai Bhai
Ye Bargaahay Risalat Panaah Hai Bhai

Ruka Na Phir Bhi Jo Woh Shehsawar Arza E Gham
Toh Bintay Haider E Karraar Ho Gayeen Barham
Kaha Baghayz Ke O Aanay Walay Taiz Qadam
Uthay Ga Hashr Agar Taan Lengay Naiza Hum
Jasaraton Se Teri Baat Dum Ba Dum Na Barhay
Bar Aab Hai Hukm Humara Ke Aik Qadam Na Barhay

Jab Ispay Bhi Na Musafir Ne Hosila Haara
Toh Barhkay Dukhtaray Sheray Khuda Ne Lalkaara
Samajh Liya Humay Bilkul Zaeef O Bay Chara
Jo Surma Hai Tu Aa Mein Hoon Maarka Aara
Ali Ki Godh Kay Paalon Ki Baag Hee Kab Hai
Husain Teray Muqabil Nahi Toh Zainab Hai

Ye Sunkay Bhi Jo Qareeb Agaya Woh Taiz Kharaam
Unhonay Barkay Pakar Lee Waheen Faras Ki Lajaam
Ke Ab Kisi Ko Nahi Hai Ijazatay Yak Gaam
Ke Iskay Baad Hai Namoosay Mustafa Ka Khayaam
Jalein Malak Ke Bhi Par Ye Woh Raahay Mushkil Hai
Ke Ab Qadam Ki Nahi Sar Ke Bal Ki Manzil Hai

Lajaam Thaam Ke Zainab Na Jab Jaga Se Talee
Teher Gaya Waheen Raakib Ba Hikmatay Amalee
Galay May Daalkay Baahein Woh Sabiray Azalee
Naqab Ulatkay Pukara Ke Mein Ali Hoon Ali
Rasool Teray Muhafiz Hain Gham Na Khaa Beti
Mein Girday Khaima Phiroon Tu Haram Mah Jaa Beti

Akhi Ke Saath Uthaya Hai Baaray Ghum Din Bhar
Sahar Ke Hotay Hi Dar Pesh Shaam Ka Hai Safar
Tamam Sogayi Hai Rokay Aalay Payghambar
Zara Si Der Ko Seedhi Toh Karlay Tooti Kamar
Kaha Ke So’oongi Nimtoon Toh Ghum Uthanay Se
Abhi Toh Pusht Bhi Zakhmi Hai Taaziyaanay Se

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Sayyida Zainab, Imam Hussain, Imam Ali, Prophet Muhammad, Imam Hasan, Bibi Sakina, Hazrat Abbas
Occasion
Muharram, Shaam-e-Ghareeban
Themes
AZH Bayaz devotional poetry
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.