Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Ay Rony Walo Hai Yeh Gharhi Shor E Shain Ki

Farhan Ali Waris

2021Urdu
2021UrduImam HussainMuharram
Ay Rony Walo Hai Yeh Gharhi Shor E Shain Ki, also known as Tadfeen e Imam Hussain, is a 2021 Urdu elegy recited by Farhan Ali Waris. It portrays Imam Zainul Abidin (AS) mourning the burial of his father Imam Hussain (AS) in Karbala, with references to Hazrat Ali Asghar (AS), Hazrat Ali Akbar (AS), Bibi Zainab (SA) and Hazrat Abbas (AS). Read the Roman Urdu text, Urdu lyrics and English translation on AzadariVerse.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Marsiya
Year
2021
Occasion
Muharram
Original
Urdu

Lyrics

Ay Rony Walo Hai Yeh Gharhi Shor E Shain Ki Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ay Rony Walo Hai Yeh Gharhi Shor E Shain Ki

Ay Rony Walo Hai Yeh Gharhi Shor E Shain Ki

Farhan Ali Waris

YouTube loads when you open Listen.

Ay Rony Walo Hai Yeh Gharhi Shor E Shain Ki

Farhan Ali Waris

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Ae Rone Walo Hai Yeh Ghari Shor-o-Shain Ki
Tadfeen Ho Rahi Hai Imam-e-Hussain Ki

Koofe Se Aaye Pehne Jo Sajjad Beriyan
Laash-e-Hussain Dekh Ke Aansu Hue Rawaan
Haathon Ko Jor Kar Kiya Beemar Ne Bayaan
Baba Tumhari Laash Ko Dhoondun Kahan Kahan
Kaise Kafan Doon Laash Ko Ghurbat Naseeb Hoon
Baba Main Aaj Tum Se Zyada Ghareeb Hoon

Ro Kar Bani Asad Ke Qabeele Ko Di Sada
Laash-e-Hussain Mil Ke Ikattha Karo Zara
Utre Lahad Mein Shah Ki Beemar-e-Karbala
Bole Parhun Main Kis Tarah Talqeen Ya Khuda
Rukh Kaise Soo-e-Kaaba Ho Zahra Ke Chain Ka
Sar Hi Nahi Raha Mere Baba Hussain Ka

Jitne Bhi Tukre Mil Sake Sab Chun Liye Gaye
Aahista Se Lahad Mein Woh Beemar Ne Rakhe
Seene Pe Haath Rakha Jo Bete Ne Baap Ke
Haalat Pe Baba Jaan Ki Sajjad Ro Pare
Bole Ke Yaad Aati Hai Is Waqt Dadi Jaan
Tori Hain Is Tarah Mere Baba Ki Pasliyan

Looti Hai Aise Laash Ghareeb-ud-Dayar Ki
Ghoron Se Pehle Laash Ki Pamali Ki Gayi
Phir Kurta Aur Amama, Aba Le Gaya Koi
Yehi Nahi Ke Sirf Angoothi Nahi Mili
Be-Ehtirami Ki Hai Yun Zahra Ke Chain Ki
Ungli Laeen Ne Kaati Hai Baba Hussain Ki

Teeron Se Sara Jism Hai Haaye Bhara Hua
Pehlu Pe Baba Jaan Ke Hai Naiza Gara Hua
Terah Jagahon Se In Ka Gala Hai Kata Hua
Hai Tan Yahan Pe Sar Wahan Khoon Se Bhara Hua
Sar Dekh Kar Yaqeen Hai Mere Khandaan Ko
Maara Hai Pattharon Se Mere Baba Jaan Ko

Barh Kar Bani Asad Ne Yeh Ek Baat Poochh Li
Maula Maaf Keejiye Gar Ho Khata Koi
Chhoti Si Kya Yeh Seene Pe Shay Hai Rakhi Hui
Abid Ki Baat Sun Ke Har Ek Maa Tarap Gayi
Bole Yeh Dekh Dekh Ke Dil Paash Paash Hai
Seene Pe Baba Jaan Ke Asghar Ki Laash Hai

Poochha Kisi Ne Maula Barabar Mein Kaun Hai
Shabbir Is Ke Seene Pe Kyun Haath Hain Rakhe
Lagta Hai In Ko Pyar Tha Is Naujawan Se
Akbar Ka Naam Lete Hi Sajjad Ro Pare
Bole Ke Haath Seene Pe Yun Hai Rakha Hua
Hai Bete Ke Kaleje Mein Naiza Laga Hua

Aayi Sada Yeh Fatima Zahra Ki Qabr Se
Sajjad Laut Aao Ke Baba Ko Ro Chuke
Koofe Mein Yaad Karti Hai Beti Meri Tujhe
Tum To Yahan Ho Woh Bhala Aawaz Kis Ko De
Zainab Ke Dil Ko Aur Bhi Zalim Rulata Hai
Shimr-e-Laeen Behen Ko Tamache Lagata Hai

Sajjad Karbala Ke Woh Manzar Ajeeb The
Farhan Aa Rahi Thi Yeh Aawaz Qabr Se
Milwa Do Beta Phir Zara Abbas Se Mujhe
Bolo Ke Aakhri Yeh Meri Baat Maan Le
Abid Pukare Ae Dil-e-Ehsan Aaiye
Mitti Lahad Pe Daalne Abbas Aaiye

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Year
2021
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.