Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Marsiya

Aaj Shabbir Pe Kya Aalam-e-Tanhai Hai

Mir Anees

Urdu
UrduImam HussainMuharram
Aaj Shabbir Pe Kya Aalam-e-Tanhai Hai is a classical Urdu Marsiya by Mir Anees, depicting the final moments of Imam Hussain on the battlefield of Karbala. Across 55 six-line stanzas, the poet describes the Imam's wounds, thirst and loneliness, his supplications to Allah, the suffering witnessed by Sayyida Zainab and Bibi Sakina, and his martyrdom. Read the complete original Urdu poetry, faithful Roman Urdu transliteration and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Aaj Shabbir Pe Kya Aalam-e-Tanhai Hai Lyrics

WA

Aaj Shabbir pe kya aalam-e-tanhai hai
Zulm ki chaand pe Zehra ki ghata chhaai hai
Is taraf lashkar-e-aada mein saf-aaraai hai
Yaan na beta na bhateeja na koi bhai hai
Barchhiyaan khaate chale jaate hain talwaaron mein
Maar lo pyaase ko hai shor sitamgaaron mein

Zakhmi baazu hain kamar kham hai badan mein nahin taab
Dagmagaate hain nikal jaati hai qadmon se rakaab
Pyaas ka ghalba hai lab khushk hain aankhein hain pur-aab
Tegh se dete hain har waar ka aada ko jawaab
Shiddat-e-zuaf mein jis ja pe thahar jaate hain
Saikron teer-e-sitam tan se guzar jaate hain

Gesu aalooda-e-khoon lipte hain rukhsaaron se
Shaane kat kat ke latak aaye hain talwaaron se
Teer paiwast hain khoon behta hai soofaaron se
Laakh aafat mein hai ik jaan dil-aazaaron se
Fikr hai sajda-e-Maabood hai sar dene ki
Waar se teghon ke fursat nahin dam lene ki

Khoon se tar pech imaame ke hain sar zakhmi hai
Hai jabeen chaand si pur-noor magar zakhmi hai
Seena sab barchhiyon se taa-ba-kamar zakhmi hai
Teer-e-bedaad se dil zakhmi jigar zakhmi hai
Zarb-e-shamsheer se bekaar hain baazu dono
Zulm ke teeron se majrooh hain pehlu dono

Barchhi aa kar koi pehlu mein laga jaata hai
Maarta hai koi neza to ghash aa jaata hai
Barhte hain zakhm-e-badan zor ghata jaata hai
Band aankhein hain sar-e-paak jhuka jaata hai
Gird Zehra-o-Ali girya-kunaan phirte hain
Ghul hai ghore se Imam-e-do-jahaan girte hain

Girte hain qatra-e-khoon zakhm-e-jabeen se paiham
Dast-e-majrooh se khinch sakte nahin teer-e-sitam
Fikr hai bakhshish-e-ummat ki kuch apna nahin gham
Karte hain shukr-e-Khuda khushk zabaan se har dam
Hai aba teeron se ghirbaan qaba gulgoon hai
Hont ya waqt se zakhmi hain dahan par khoon hai

Zeen se hota hai juda dosh-e-Muhammad ka makeen
Chaman-e-Fatima ka sarv hai maayil-ba-zameen
Barchhiyaan gird hain aur beech mein hain Sarwar-e-Deen
Hai yeh nazdeek gire mohr-e-nabuwwat ka nageen
Paaon har baar rakaabon se nikal jaate hain
Ya Ali kehti hai Zainab to sambhal jaate hain

Laakh talwaarein hain aur ek tan-e-athar hai
Ek mazloom hai aur zaalimon ka lashkar hai
Saikron khanjar-e-foulaad hain aur ik sar hai
Na koi yaar na hamdam na koi yaawar hai
Baag ghore ki latakti hai utha sakte nahin
Saamne Ahl-e-Haram rote hain jaa sakte hain

Koi Sayyid ka nahin aah bachaane waala
Harbe laakhon hain aur ik zakhm uthaane waala
Pyaas mein koi nahin paani pilaane waala
Sambhle kis tarah bhala barchhiyaan khaane waala
Charkh se aag barasti hai zameen jalti hai
Maare garmi ke zabaan khushk hai loo chalti hai

Kaheen dam lene ko saaya nahin hai waqt-e-zawaal
Ainthi jaati hai zabaan pyaas ki shiddat hai kamaal
Kabhi Zainab ka hai gham gaah Sakina ka khayaal
Din jo dhalta hai to Hazrat hue jaate hain nidhaal
Misl-e-khursheed badan zuaf se tharraata hai
Nayyar-e-burj-e-imamat pe zawaal aata hai

Kehte hain zaalimon se khushk zabaan dikhla kar
Bahr-e-Haq paani ka ik jaam pila do laa kar
Ahl-e-keen kehte hain yeh tegh-e-sitam chamka kar
Aab-e-shamsheer piyo barchhiyon ke phal kha kar
Yeh sukhan sun ke bhi ghussa nahin farmaate hain
Yaas se soo-e-falak dekh ke reh jaate hain

Arz karte hain yeh Khaaliq se ke aye Lab-e-Ghafoor
Tu hai aalim ke nahin kuch tere bande ka qusoor
Karte hain yeh mujhe be-jurm-o-khata teghon se choor
Haath ummat pe uthaana nahin mujhko manzoor
Jaante hain ke Muhammad ka nawaasa hoon main
Paani dete nahin do roz ka pyaasa hoon main

Tu ne bachpan se mere naaz uthaaye Ya Rab
Woh inaayat kiya jo tujh se kiya maine talab
Tera Mehboob bana Eid ko mera markab
Roza rakha to chhupa mehr numayaan hui shab
Bhook mein Khuld ka khaana mujhe imdaad kiya
Bhej kar hirni ka bachcha mera dil shaad kiya

Ab agar hai yeh teri maslihat aye Rabb-e-Qadeer
Ho rawaan halq pe is pyaase ke aab-e-shamsheer
Mere Maula ba-sar-o-chashm hai haazir Shabbir
Hukm-e-Haakim mein yeh taaqat hai karoon main taakhir
Jald gardan pe rawaan khanjar-e-burraan howe
Aye khusha woh jo teri raah mein qurbaan howe

Gham nahin kuch mujhe go be-kas-o-be-yaar hoon main
Zer-e-shamsheer gala rakhne ko taiyaar hoon main
Tu madadgaar hai Mukhtaar hai laachaar hoon main
Waqt-e-mushkil hai inaayat ka talabgaar hoon main
Tere sajde mein yeh sar tan se juda ho jaawe
Ahd-e-tifli ka jo waada hai wafa ho jaawe

Sakhtiyaan marg ki kar apne karam se aasaan
Lab pe takbeer ho jab halq pe khanjar ho rawaan
Dil mein ho yaad teri band ho jis waqt zabaan
Dam bharoon tera hi tan se jo nikalne lage jaan
Baad-e-chehlum jo mujhe qabr muyassar howe
Zakhmi tan par na fishaar aye mere Daawar howe

Reham kar reham kar sharminda hoon aye Yaar-e-Khuda
Bandagi ka tere jo haq tha ada ho na saka
Khauf-e-mehshar se badan kaanpta hai sar-ta-pa
Hogi aamaal ki pursish to kahoonga main kya
Koi tohfa tere laaiq nahin paata hai Hussain
Haath khaali tere darbaar mein aata hai Hussain

Taqwiyat dil ko karam se hai tere Ya Rahmaan
Nahin mayoos ke rehmat hai teri be-paayaan
Mushkilein bandon ki kar deta hai dam mein aasaan
Shukr-e-altaaf-o-inaayaat mein qaasir hai zabaan
Aasiyon se bhi muhabbat nahin kam karta hai
Jurm woh karte hain to lutf-o-karam karta hai

Main teri raah mein mazloomi se hota hoon fida
Tu hai aagaah ke do din ka hoon bhooka pyaasa
Chaahta hoon main yehi apni shahaadat ka sila
Maghfirat ummat-e-aasi ki ho aye Baar-e-Khuda
Hai gawaara mujhe jo kuch ke aziyyat howe
Unko duniya mein bhi uqba mein bhi raahat howe

Arz karte the yeh Khaaliq se Shah-e-banda-nawaaz
Yak-ba-yak aalam-e-baala se yeh aayi aawaaz
Aye mere sher ke farzand Nabi ke dam-saaz
Tujh se hum khush hain pazeera hai tera ajr-o-niyaaz
Mard hai aashiq-e-kaamil hai wafadaar hai tu
Jo kaha woh hi kiya saadiq-ul-iqraar hai tu

Tu bhi maqbool hai aur teri ibaadat bhi qubool
Yeh itaaat bhi hai maqbool yeh taaat bhi qubool
Aajizi bhi teri maqbool shahaadat bhi qubool
Teri khaatir se hamein bakhshish-e-ummat bhi qubool
Hum ne khail-e-shuhada ka tujhe sardaar kiya
Ummat-e-Ahmad-e-Mukhtaar ka mukhtaar kiya

Dost-daaron ka tere gulshan-e-Jannat hai maqaam
Taa-abad saaya-e-Tooba mein karenge aaraam
Honge mehshoor tere saath azaadaar tamaam
Tujhko jo roenge aanch un pe hai Dozakh ki haraam
Gham na kha Ahl-e-Jahaan tere muhib saare hain
Tu hai pyaara tere pyaare bhi hamein pyaare hain

Honge har ranj se mehfooz tere taaziya-daar
Sakhti-e-marg na unko hai na eeza-e-fishaar
Dam-e-mardan nazar aawega Ali ka deedaar
Qabr se gulshan-e-Firdaus ki dekhenge bahaar
Daar-e-duniya hi mein hain jo so unhein eeza hai
Aankhein jab band hueen phir dar-e-Jannat waa hai

Tujh sa aabid na hua hai na koi howega
Teer kha kha ke kisi ne bhi hai yun shukr kiya
Taaat-e-khalq se ik sajda hai afzal tera
Arsh-e-Aazam pe malaaik teri karte hain sana
Saara ghar meri muhabbat mein fana tu ne kiya
Bandagi ka tha jo kuch haq woh ada tu ne kiya

Hashr tak royega mazloomi pe teri aalam
Tera maatam nahin howega jahaan mein kabhi kam
Rauza-e-paak ko tere yeh sharaf bakhsheinge hum
Aayenge jiski ziyaarat ko malak ho ke baham
Yeh zameen Arsh se rutbe mein siwa howegi
Khaak-e-turbat ki teri khaak-e-shifa howegi

Yeh sada sun ke hue shaad Shah-e-har-do-sara
Aa gayi az-sar-e-nau jism mein taaqat goya
Jhuk ke sajde ki taraf ajz se ro kar yeh kaha
Mere Maula main teri banda-nawaazi ke fida
Kyun na mumtaaz ho woh tu jise rutba bakhshe
Is kaf-e-khaak ko kya rutba-e-aala bakhshe

Abhi Maula ne sar-e-ajz uthaaya na tha aah
Neza ik chhaati pe maara jo kisi ne naagaah
Ghash mein girne lage ghore se Imam-e-ze-jaah
Aayi Khaatoon-e-Qayaamat ki sada Bismillah
Thaamne aaye Ali Khuld se ghabraaye hue
Daure Mehboob-e-Khuda haathon ko phailaaye hue

Ik jafa-kesh ne phir pehlu pe neza maara
Chhid gaya tor ke chhaati ko kaleja saara
Pusht-e-taazi pe sambhalne ka na paaya yaara
Gir para khaak pe woh Arsh-e-Khuda ka taara
Gard-aalood qaba-e-Shah-e-pur-noor hui
Ret zakhmon ke liye marham-e-kafoor hui

Khaak-o-khoon mein jo tarapte the Shahenshah-e-zaman
Gul ke maanind khule jaate the sab zakhm-e-badan
Talab-e-aab mein khole hue the khushk dahan
Gird kheenche hue talwaarein khare the dushman
Gham-e-naamoos bhi tha pyaas ki bhi shiddat thi
Phir Sakina ko na dekh aaye yehi hasrat thi

Kaan mein aati thi Zainab ki sada-e-jaan-kaah
Dil tarap jaata tha karte the ajab dard se aah
Raah roke hue khaime ki khare the gumraah
Neem-waa chashm se karte the soo-e-khaima nigaah
Tan-e-zakhmi pe jo paikaan-e-sitam garte the
Khaak se uthte the aur kaanp ke gir parte the

Kehta tha fauj mein sab se Umar-e-bad-akhtar
Khinche kyun teghon ko haathon mein khare ho shashdar
Reg-e-tafteeda pe hai ghash mein Ali ka dilbar
Jaao kya der hai kaato Shah-e-Mazloom ka sar
Tegh se Fatima Zehra ka gala chaak karo
Jald haan khaatima-e-Panjatan-e-Paak karo

Aise mazloom ka sar kaatna kya hai dushwaar
Jiska koi bhi madadgaar na hamdard na yaar
Auratein hain kayi khaime mein ghareeb-o-naachaar
Mar chuke pehle hi jo khoon ke the daaweedaar
Khoon-baha bhi na koi maangne ko aawega
Ik pisar hai so woh beemaar hai mar jaawega

Kaanp kar kehte the sab hum se na hoga yeh sitam
Zibh-e-farzand-e-Muhammad ko nahin karne ke hum
Aise mazloom ki chhaati pe jo rakhega qadam
Paaon jal jaayega tharraayega Arsh-e-Aazam
Peette qabr se Mehboob-e-Khuda aawenge
Ba-Khuda Fatima ki aah se jal jaawenge

Kaun be-kas ko bhala zibh kare be-taqseer
Pherta hai koi pyaase ke gale par shamsheer
Go ke be-kas hai pe aasaan nahin qatl-e-Shabbir
Hashr mein honge Mehboob-e-Khuda daaman-geer
Tu samajhta hai ke iska koi khoon-khwaah nahin
Bint-e-Ahmad nahin Haider nahin Allah nahin

Tha jo dam-saaz Umar Ibn-e-Numair-e-azlam
Barh ke tegh usne sar-e-Shah pe maari us dam
Taa-jabeen ho gaya majrooh sar-e-Shah-e-umam
Thaam kar sar ko pukaare yeh Imam-e-aalam
Na muyassar tujhe is haath se khaana howe
Tu tahi-dast Jahannum ko rawaana howe

Chaaha zaalim ne ke phir Shah pe kare tegh ka waar
Dekha angusht-ba-dandaan hain Rasool-e-Mukhtaar
Khushk us waqt hue dast-e-sitamgar ik baar
Haath se tegh giri khauf se bhaaga khoon-khwaar
Yaan sar-e-paak se Hazrat ke lahu jaari tha
Kham soo-e-Qibla the band aankhein thin ghash taari tha

Jab tarapne ki bhi taaqat na rahi Sarwar ko
Ghul hua yeh ke ghash aaya khalaf-e-Haider ko
Fauj se Shimr barha kheenche hue khanjar ko
Sab se kehta tha ke ab kaato sar-e-Sarwar ko
Khalaf-e-Ahmad-e-Mukhtaar ka qaatil hoon main
Kaam mera hai isi kaam ke qaabil hoon main

Mujhko Haider se gharaz hai na Muhammad se hai kaam
Ro dein Mehboob-e-Khuda howe khushi Haakim-e-Shaam
Daulat-e-Fatima le jaaun main paaun inaam
Rooh-e-Haider ki ho bechain mujhe ho aaraam
Munh na main daulat-e-duniya se kabhi pherunga
Aaj Zehra ke kaleje pe chhuri pherunga

Tez karta hua khanjar ko gaya Shah ke qareen
Aasmaan hil gaya tharra gayi maqtal ki zameen
Ro ro chillaane lagi Zainab-e-naashaad-e-hazeen
Ghash mein bhi ghere hain haaye mere bhai ko laeen
Reham Zehra ke pisar par nahin khaata koi
Khaak se bhi nahin zakhmi ko uthaata koi

Kis se faryaad karoon jaa ke main dukhiya haaye haaye
Na Muhammad hain na Haider hain na Zehra haaye haaye
Laakh dushman hain mera bhai hai tanha haaye haaye
Teghon se katta hai Zehra ka kaleja haaye haaye
Sarv-e-gulzaar-e-risaalat ko qalam karte hain
Haaye Sayyid pe musaafir pe sitam karte hain

Gird Zainab ke tha naamoos-e-Payambar ka hujoom
Bano roti thi khari peetti thi sar Kulsoom
Kehti thi dekh ke maidaan ko Sakina-e-masoom
Aye Phuphi nargha-e-aada mein hain Shah-e-Mazloom
Jaaungi ab main thaharne ki nahin aap ke paas
Shimr khanjar liye jaata hai mere baap ke paas

Baap ke paas se jaa kar use sarkaaungi
Jor kar haathon ko minnat se main samjhaaungi
Apne Baba ki main chhaati se lipat jaaungi
Khaime tak unko sambhaale hue le aaungi
Bhooke pyaase mere Baba ko na maare koi
Unke badle mera sar tan se utaare koi

Kitna roka use Bano ne pe hargiz na ruki
Chhote se haathon se sar peetti maidaan ko chali
Peechhe sar khole hue khaime se Zainab nikli
Pahunchi ran mein to Sakina yeh Umar se boli
O laeen Haider-e-Karraar ki poti hoon main
Reham kar mujh pe ke bin baap ki hoti hoon main

Dekh ghurbat ko meri kar mere bachpan pe nazar
Baap maara gaya mera to jioongi kyun kar
Sar pe aawegi yateemi to main jaaungi kidhar
Main to hoon baap ki shaida mera aashiq hai pidar
Baap bin ek dam aaraam na aawega mujhe
Kaun phir raat ko chhaati pe sulaawega mujhe

Hansliyaan apni gale se tujhe deti hoon utaar
Le mere kaan ka durr par mere Baba ko na maar
Haathon ko jorti hoon main tere aage naachaar
Mana kar de koi be-kas ko na maare talwaar
Ghar mein jo kuch zar-o-zewar hai woh laa doongi main
Jaan Baba ki bachegi to dua doongi main

Bheer mein mujhko nazar aate nahin Baba jaan
Itna keh de ke sarak jaayein yeh sab be-imaan
Gird phir phir ke main hoon apne pidar ke qurbaan
Jaa ke dekhoongi badan par hain lage zakhm kahaan
Dam-e-aakhir to bhala kaam mein aaun unke
Apne kurte se lahu munh ka chhuraaun unke

Kitna kehti rahi woh Bint-e-Shah-e-Arsh-e-Janaab
Us sitamgar ne diya kuch na Sakina ko jawaab
Peet kar sar kaha Zainab ne ke o khaana-kharaab
Tujhko aata nahin kuch Rooh-e-Payambar se hijaab
Zulm mat kar Asadullah ki jaayi hoon main
Nange sar parde se baahar nikal aayi hoon main

Meri Amma ka hai mashhoor jahaan mein parda
Baad-e-rehlat bhi janaaza na kisi ne dekha
Uski beti hoon tere zulm se yeh waqt para
Sar-barehna hoon garebaan bhi hai kurte ka phata
Munh ko Allah-o-Payambar se chhupaata hai tu
Main to faryaadi hoon aur aankh churaata hai tu

Maara jaata hai tere saamne Zehra ka pisar
Dekhta hai tu yeh talwaarein hain parti kis par
Teer kis ko lage ghirbaal hua kis ka jigar
Zibh karne ko kise kheenche hai zaalim khanjar
Dil-e-Zehra jigar-e-Sher-e-Khuda katta hai
Zulm se tere Muhammad ka gala katta hai

Qatl mazloom ko kyun karta hai be-jurm-o-gunaah
Ab talak main ne bahut sabr kiya hai Wallah
Dil-jali hoon main abhi seene se kheenchun gar aah
Tu bhi jal jaaye teri fauj bhi ho khaak-e-siyaah
Bad-dua doon main to naazil abhi aafat howe
Sar ke baalon ko jo kholun to qayaamat howe

Ghash mein Hazrat ne sune jab ke yeh Zainab ke sukhan
Khol kar deeda-e-purkhoon ko uthaayi gardan
Dekha sar nange khari roti hain maqtal mein behan
Bint-e-Zehra ko pukaare yeh Shahenshah-e-zaman
Kya kiya tum ne ke parde se khule sar niklein
Jeete ji mere sar parde se baahar niklein

Kis ko samjhaati ho koi na sunega faryaad
Baaz aawega nahin qatl se mere jallaad
Jitna tum peetti ho aur laeen hote hain shaad
Hashr ke roz Khuda dewega is khoon ki daad
Shauq marne ka hai sar tan se juda hone do
Jaao ghar mein mujhe ummat pe fida hone do

God mein meri Sakina ko uthaao hamsheer
Koi Asghar ki tarah maar na baithe ise teer
Phir yeh beti ko pukaare tere sadqe Shabbir
Tu bhi jaa saath Phuphi jaan ke ab aye dilgeer
Waqt-e-taaat hai zara yaad-e-Khuda kar leewein
Hum bhi ab aate hain sajde ko ada kar leewein

Keh ke yeh ghash hue phir ran mein Shahenshah-e-umam
Shimr-e-azlam ne rakha seena-e-aqdas pe qadam
Jigar-e-Fatima Zehra pe chali tegh-e-do-dam
Aage Zainab ke hue zibh Hussain aah sitam
Peet kar Bint-e-Shahenshah-e-zaman rone lagi
Baap ko beti baraadar ko behan rone lagi

Fath ka fauj-e-mukhaalif mein baja naqqaara
Ghul hua qatl hua Sher-e-Khuda ka pyaara
Bas Anees ab nahin goyaai ka mujhko yaara
Gham se khoon ho gaya seene mein kaleja saara
Kis se is dard-o-museebat ka bayaan hota hai
Aankhein roti hain qalam rota hai dil rota hai

Details

Lyrics Details

Category
Marsiya
Personalities
Imam Hussain, Imam Ali, Prophet Muhammad, Sayyida Fatima Zahra, Sayyida Zainab, Bibi Sakina, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Final moments of Imam Hussain, Martyrdom of Imam Hussain, Loneliness and thirst in Karbala, Patience and submission to Allah, Supplications of Imam Hussain, Suffering of Sayyida Zainab, Grief of Bibi Sakina
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.