Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Mir Hasan Mir

2020Urdu
2020UrduImam Hussain
Aakhri Raat Hai Sakina Ki is a 2020 Urdu noha recited by Mir Hasan Mir, written by Hasnain Akbar and composed by Shoaib Raza Shobi. It mourns the final night of Bibi Sakina in the prison of Shaam, recalling her suffering, her last meeting with Imam Hussain and Imam Zainul Abidin's grief.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2020
Original
Urdu

Lyrics

Aakhri Raat Hai Sakina Ki Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Aakhri Raat Hai Sakina Ki

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Sakina alvida, Sakina alvida

Shama zindaan mein manga de koi
Aakhri raat hai Sakina ki

Ja rahi hai Hussain ki beti
Aakhri raat hai Sakina ki

Shama zindaan mein manga de koi
Aakhri raat hai Sakina ki

Yeh jo gardan pe hai rasan ka nishan
Saath turbat mein is ke jayega
Koi Umm-e-Rubab se keh de
Ab yeh chehra nazar na aayega
Aaj ji bhar ke dekh lo Bibi
Aakhri raat hai Sakina ki

Shama zindaan mein manga de koi
Aakhri raat hai Sakina ki

Paas Baba ke jaane wali hai
Ab tamache na koi maarega
Qabr mein to ghamon ki maari ke
Koi gohar nahi utaarega
Ja ke turbat mein chain payegi
Aakhri raat hai Sakina ki

Shama zindaan mein manga de koi
Aakhri raat hai Sakina ki

Hai Janab-e-Ameer ki poti
Inteha is pe hai ghareebi ki
Aalam-e-naza ho gaya taari
Saans rukne lagi hai bachhi ki
Rasma ab to khol do is ki
Aakhri raat hai Sakina ki

Shama zindaan mein manga de koi
Aakhri raat hai Sakina ki

Rone wali ki chalti saanson ko
Aaj is tarah roka jata hai
Band ho jaye shor-e-girya ka
Sar-e-Shabbir laya jata hai
Hai mulaqat baap beti ki
Aakhri raat hai Sakina ki

Shama zindaan mein manga de koi
Aakhri raat hai Sakina ki

Shor yeh beriyon ka kehta hai
Koi uthta hai koi girta hai
Hai khabar yeh ghareeb bhai ko
Dam behan ka nikalne wala hai
Abhi legi yeh aakhri hichki
Aakhri raat hai Sakina ki

Shama zindaan mein manga de koi
Aakhri raat hai Sakina ki

Ro ke Sajjad khud se kehte the
Kaise mayyat uthaunga is ki
Qaid zanjeer mein hain haath mere
Qabr kaise banaunga is ki
Be-kafan jayegi behan meri
Aakhri raat hai Sakina ki

Shama zindaan mein manga de koi
Aakhri raat hai Sakina ki

Kaisa manzar tha qaid mein Akbar
Chaar janib tha shor-e-girya ka
Le ke Sajjad ne Sakina ki
God mein sar jo rakha Baba ka
Sar-e-Shabbir se sada aayi
Aakhri raat hai Sakina ki

Shama zindaan mein manga de koi
Aakhri raat hai Sakina ki

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2020
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Themes
Shahadat Bibi Sakina
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.