Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Ab Mujhe Koi Sakina Nahi Kehta Baba

Mir Hasan Mir

2016Urdu
2016UrduImam HussainMuharram
Ab Mujhe Koi Sakina Nahi Kehta Baba is a Noha recited by Mir Hasan Mir with poetry attributed to Hasnain Akbar. The young daughter of Imam Hussain laments the suffering she endured in Kufa and Damascus and longs for her father. Explore the Roman Urdu lyrics, Urdu text, and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Lyrics

Ab Mujhe Koi Sakina Nahi Kehta Baba Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Ab Mujhe Koi Sakina Nahi Kehta Baba

Ab Mujhe Koi Sakina Nahi Kehta Baba

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Ab Mujhe Koi Sakina Nahi Kehta Baba

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Baba, mere Baba ×2
Haaye!
Shah ki laadli jab qaidi-e-zindaan hui
Royi, ghabraayi bahut aur pareshaan hui
Qaid-khaane ki ghutan maut ka saamaan hui
Jaan lagta tha ke masoom ki be-jaan hui
Laash Shabbir ki maqtal mein tadap jaati thi
Qaid-khaane se jo bachchi ki sada aati thi

Ab mujhe koi Sakina nahin kehta Baba ×2
Qaidi kehta hai koi ×2
Koi yateema Baba
Ab mujhe koi Sakina nahin kehta Baba

Main bayaan kaise karun apni museebat tumse
Kya karun apne tamaachon ki shikaayat tumse
Sunti hoon Daadi ne khaaya tha tamaacha Baba
Ab mujhe koi Sakina nahin kehta Baba

Neel rukhsaaron pe, beenaayi bhi jiski kam ho
Umr ho chaar baras aur kamar mein kham ho
Aap ne dekhi hai kya ×2 aisi zaeefa Baba
Ab mujhe koi Sakina nahin kehta Baba

Khoon-e-be-sheer se andaaza kiya tha maine
Aap ka chehra to pehchaan liya tha maine
Aap pehchaanoge kaise mera chehra Baba
Ab mujhe koi Sakina nahin kehta Baba

Aap the door to main saare sitam sehti rahi
Ro padi Kufe ke darbaar mein, main seh na saki
Aapke saamne jab ×2 Shimr ne maara Baba
Ab mujhe koi Sakina nahin kehta Baba

Woh to beemaar thi, mar jaati safar mein aake
Dafn karte use bazaar mein bhaiyya kaise
Yeh to achchha hua ×2 aayi nahin Sughra Baba
Haaye, Sughra Baba

Meri aankhon se bahe jaate the aansoo us dam
Haath bhi maine lagaaya nahin, Daadi ki qasam
Dena chaaha tha mujhe ×2 logon ne sadqa Baba
Ab mujhe koi Sakina nahin kehta Baba

Us ghadi dhoondh rahi thi main Chacha Jaan ka sar
Kaise batlaaun ke kya guzri teri beti par
Mujhko zaalim ne kaneezi mein jo maanga Baba
Ab mujhe koi Sakina nahin kehta Baba

Bain yeh karte hi khaamosh hui woh Akbar
Aaj to jaayenge saath apne mujhe bhi lekar
Aap ko meri qasam ×2 kijiye waada Baba
Ab mujhe koi Sakina nahin kehta Baba ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2016
Personalities
Imam Hussain
Occasion
Muharram
Original language
Urdu
Album
Al Aman Ya Sahib uz Zaman

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.