Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aaj Ki Raat Sakina Pe Bohat Bhari Hai

Mir Hasan Mir

2018Urdu
2018UrduImam HussainMuharram
Aaj Ki Raat Sakina Pe Bohat Bhari Hai, also known as Khuda Hafiz Sakina, is a 2018 Urdu Noha recited by Mir Hasan Mir and written by Hasnain Akbar. The lament portrays the final suffering of Bibi Sakina in the prison of Shaam, as she calls upon her martyred father Imam Hussain. Through eight emotional verses, it recalls her injuries, thirst, captivity, longing for her father's embrace and the anguish of Imam Zainul Abidin.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Year
2018
Occasion
Muharram
Original
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Lyrics

Aaj Ki Raat Sakina Pe Bohat Bhari Hai Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aaj Ki Raat Sakina Pe Bohat Bhari Hai

Aaj Ki Raat Sakina Pe Bohat Bhari Hai

Mir Hasan Mir

YouTube loads when you open Listen.

Aaj Ki Raat Sakina Pe Bohat Bhari Hai

Mir Hasan Mir

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Haaye, Haaye ×4
Khuda Hafiz Sakina, Khuda Hafiz Sakina ×2

Baba aajao
Baba aajao, yeh beti jo tumhein pyaari hai
Aaj ki raat Sakina pe bohat bhaari hai ×3

Aable dukhte hain, hoti hai chubhan khaaroon ki
Badhti jaati hai aziyyat mere rukhsaaron ki
Yehi haalat ba-Khuda hoti hai beemaaron ki
Aisa lagta hai ke marne ki yeh tayyari hai
Aaj ki raat Sakina pe bohat bhaari hai ×2

Apni jaanib jo bulaati hai yeh zindaan ki zameen
Yeh kahin aap se milne ka ishaara to nahi?
Jald aajayein, na ho jaaye bas ab der kahin
Aap ke seene pe sone ki meri baari hai
Aaj ki raat Sakina pe bohat bhaari hai ×2

Haaye
Itna saabir hai mera bhai ke har dukh seh ke
Khoon ke aansu ba-har-haal thehar jaate the
Haan magar maanga gaya jab se kaneezi mein mujhe
Bhai Sajjad ki aankhon se lahu jaari hai
Aaj ki raat Sakina pe bohat bhaari hai ×2

Shimr ke durron ne kar di hai kamar meri nidhaal
Mere baalon ki safedi se ayaan hai mera haal
Ab mujhe dekh ke karte hain sabhi log sawaal
Zard chehra hai, kya is bachchi ko beemaari hai?
Aaj ki raat Sakina pe bohat bhaari hai ×2

Haaye
Pyaar hai beti se kitna yeh batana hoga
Saath mein saare shaheedon ko bhi laana hoga
Pehla pursa mera lene tumhein aana hoga
Aaj zindaan mein Sakina ki azadari hai
Aaj ki raat Sakina pe bohat bhaari hai ×2

Haaye
Sochti hoon ke kafan kaise mera laayenge
Kis tarah laash ko bhaiyya meri dafnaayenge
Qaidi haathon se mujhe kaise utha paayenge
Kaisi yeh Maalik-o-Mukhtaar ki laachaari hai
Aaj ki raat Sakina pe bohat bhaari hai ×2

Khaak par thak ke jo baithi to tamaache khaaye
Haaye Abbas pukaari to tamaache khaaye
Aap ke naam pe royi to tamaache khaaye
Mere rukhsaaron pe tafseel likhi saari hai
Aaj ki raat Sakina pe bohat bhaari hai ×2

Baap ko beti sada deke yeh boli Akbar
Kar diye baazu nisaar apne chacha ne mujh par
Uthega unka alam mashk-e-Sakina lekar
Woh wafa unki thi, yeh meri wafadaari hai
Aaj ki raat Sakina pe bohat bhaari hai ×2

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Year
2018
Personalities
Imam Hussain, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram
Themes
Shahadat Bibi Sakina
Original language
Urdu
Album
Habib Aa Jao - Muharram 1440H

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.