Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aalam Nehaan Hai Zaat-e-Risalat Maab Mein

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduProphet MuhammadMuharram
Aalam Nehaan Hai Zaat-e-Risalat Maab Mein is a devotional Urdu poem opening with praise of Prophet Muhammad and Imam Ali before turning to the grief of Karbala. The eighteen couplets blend devotional praise with the sorrow of Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Aalam Nehaan Hai Zaat-e-Risalat Maab Mein Lyrics

WA
Now Playing
AZADARIVERSE · LISTEN & READ

Aalam Nehaan Hai Zaat-e-Risalat Maab Mein

Aalam Nehaan Hai Zaat-e-Risalat Maab Mein

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

YouTube loads when you open Listen.

Aalam Nehaan Hai Zaat-e-Risalat Maab Mein

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

LYRICS

No verified timing yet · read alongside the video

Aalam Nehaan Hai Zaat-e-Risalat Maab Mein
Kitne Hain Aftaab Is Ek Aftaab Mein

Kholun Zaban Kaise Ali Ki Janaab Mein
Ek Shehr-e-Ilm Hai Jo Dar Aaya Hai Baab Mein

Saf-Basta Kainaat Hai Meri Janaab Mein
Mahv-e-Sana Hoon Bargah-e-Bu Turab Mein

Munkar Nakeer Kar Na Sake Phir Koi Sawal
Naad-e-Ali Jo Maine Sunayi Jawab Mein

Le Le Na Jaan Hasrat-e-Deedar Ya Imam
Bas Ab Na Aazmaiye Reh Kar Hijaab Mein

Naam-e-Khuda Ali Hai To Is Mein Imam Bhi
Dono Maze Hain Bandagi-e-Bu Turab Mein

Rakhta Hai Kad Jo Dil Mein Ali Se Use Kabhi
Jannat Naseeb Ho Nahi Sakti Hai Khwab Mein

Karti Jo Baab-e-Ilm Se Ummat Husool-e-Ilm
Yun Thokarein Na Khati Rahe Intikhaab Mein

Dushman Wasi-e-Ahmad-e-Mursal Ka Ba-Khuda
Yaan Tha Azaab-e-Jaan, Wahan Hai Azaab Mein

Khaya Kisi Se Aur Na Lagaya Kisi Ko Zakhm
Aise Bhi The Janaab Nabi Ki Janaab Mein

Qeemat Lagi Jo Ashk-e-Aza-e-Hussain Ki
Jannat Tamaam Ho Gayi Mere Hisaab Mein

Akbar Ne Barchhi Khayi Hai Ain-e-Shabaab Mein
Aisa Gehan Laga Na Kabhi Aftaab Mein

Parde To Daalte Rahe Har Daur Ke Yazid
Lekin Chhupa Na Zulm Ka Chehra Naqaab Mein

Sad Marhaba Tumhari Zaeefi Ko Ae Habeeb
Kya Koi Yun Jihad Karega Shabaab Mein

Jis Ka Hadaf Tha Asghar-e-Masoom Ka Gala
Ja Kar Laga Hai Teer Woh Qalb-e-Rubab Mein

Sughra Watan Mein Kehti Thin Baba Ki Khair Ho
Daadi Ko Sar Khule Hue Dekha Hai Khwab Mein

Baali Sakina Kehti Thi Pani Main Kya Piyun
Soorat Nazar Jo Aati Hai Asghar Ki Aab Mein

Ta Hashr Ae Saleem Jo Hasti Kare Wafa
Likhta Rahun Main Saqi-e-Kausar Ke Baab Mein

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Prophet Muhammad, Imam Ali, Imam Hussain, Ali Akbar, Ali Asghar, Bibi Rabab, Bibi Sakina, Bibi Sughra, Hazrat Habib ibn Mazahir
Occasion
Muharram
Themes
Praise of Prophet Muhammad and Imam Ali, Elegy for the martyrs of Karbala, Tears of mourning
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.