Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Aajao Ab Aajao Ab Aajao Sakina

Sachey Bhai

Urdu
UrduBibi SakinaMuharram
Aajao Ab Aajao Ab Aajao Sakina is an Urdu noha reflecting on the grief of a mother for Bibi Sakina after Karbala. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Safar
Original
Urdu

Lyrics

Aajao Ab Aajao Ab Aajao Sakina Lyrics

WA

Ajao Ab Ajao Ab Ajao Sakina
Bano Ki Sada Thi Ke Na Tarpao Sakina

Ab Mujsay Judaayi Ka Alam Uth Na Sakega
Yoon Rooth Ke Madar Se Na Tum Jao Sakina

Phir Pyaar Se Maa Kehkay Pukaaro Meri Dilbar
Amma Ko Na Iss Tarha Se Tarpao Sakina

Asghar Ki Judaayi Ali Akbar Ki Judaayi
Kaafi Hai Na Ab Tum Bhi Mujhay Rulwao Sakina

Kya Mujh Se Khata Hogayi Kyun Rooth Gayi Ho
Iss Ghamzada Madar Ko Ye Batlao Sakina

Ye Sach Hai Bohot Qaid Mein Dukh Tumnay Uthaye
Lo Baap Ki Aghosh Mein Sojao Sakina

Kaanon Se Lahoo Behta Hai Rukhsaar Hain Neelay
Ye Shakl Na Abbas Ko Dikhlao Sakina

Lipta Ke Kalejay Se Duaein Meri Lena
Ek Nanni Si Turbat Jo Kaheen Paao Sakina

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Bibi Sakina, Bibi Rabab, Ali Asghar, Ali Akbar, Hazrat Abbas, Imam Hussain
Occasion
Muharram, Safar
Themes
AZH Bayaz devotional poetry
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.