Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Abbas Ae Sher-e-Nayistan-e-Haider

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduHazrat AbbasMuharram
Abbas Ae Sher-e-Nayistan-e-Haider is an Urdu lament in Sayyida Zainab’s voice calling to Hazrat Abbas amid Karbala’s tragedies. Read the Roman Urdu lyrics, Urdu script and English translation.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Original
Urdu

Lyrics

Abbas Ae Sher-e-Nayistan-e-Haider Lyrics

WA

Abbas Ae Sher-e-Nayistan-e-Haider
Deti Thi Sada Zainab Ro Kar

Kya Isi Din Ke Liye Maangi Thi Baba Ne Dua
Aa Ke Pardes Mein Ho Jaoge Tum Hum Se Juda
Sote Ho Chain Se Dariya Ke Kinare Bhaiya
Kya Sunayi Nahi Deti Tumhein Hal-Min Ki Sada
Tanha Hain Khade Ran Mein Sarwar

Ae Mere Sher-e-Jawan, Ae Mere Bhai Ho Kahan
Shaq Hai Dil Pe Mere Teri Judayi, Ho Kahan
Der Se Deti Hoon Bhaiya Main Duhayi, Ho Kahan
Lut-ti Hai Fatima Zahra Ki Kamayi, Ho Kahan
Khanjar Hai Halq-e-Sarwar Par

Kya Isi Din Ke Liye Saath Behan Thi Aayi
Aa Gayi Neend Jo Dariya Ki Tarayi Paayi
Phir Palat Kar Humein Soorat Bhi Nahi Dikhlayi
Aa Gaya Ran Se Alam, Tum Nahi Aaye Bhai
Phatta Hai Mera Sadme Se Jigar

Gir Ke Ghode Se Sada Baap Ko Akbar Ne Jo Di
Dilbar-e-Fatima Zahra Ki Ajab Haalat Thi
Haath Malte The, Kabhi Ghaat Ko Takte The Kabhi
Thaam Kar Tooti Kamar Kehte The Farzand-e-Nabi
Laun Kaise Laash-e-Akbar

Haal Shabbir Ka Ab To Nahi Dekha Jata
Hai Kamar Kham, Nahi Aankhon Se Sujhayi Deta
Yeh Zaeefi, Yeh Jawan Laal Ka Sadma Bhaiya
Thaam Lo Badh Ke Zara Haath Tumhi Bhai Ka
Khate Hain Thokar Par Thokar

Bhai Ko Bhool Gaye, Dhyan Na Behno Ka Raha
Yaad Aaya Na Koi, Payi Jo Dariya Ki Hawa
Haye Kis Dil Se Kiya Tum Ne Gawara Bhaiya
Har Tamache Pe Sakina Ne Tumhein Yaad Kiya
Jab Cheene Gaye Kanon Se Gohar

Hai Qayamat Ka Saman, Loot Hai Har Simt Machi
Koi Pursa Nahi, Haalat Hai Ajab Bachchon Ki
Taziyane Koi Khata Hai, Tamache Koi
Aag Daman Mein Hai Masoom Sakina Ke Lagi
Bhaiya Utho, Lo Jald Khabar

Chhod Kar Dasht-e-Musibat Mein Behan Ko Bhai
Tum Ne Achchha Hi Kiya Door Basayi Basti
Dekh Sakte The Kahan Tum Jo Hai Haalat Meri
Balwa-e-Aam Mein Bhaiya Main Khule Sar Hoon Khadi
Aada Le Gaye Sar Se Chadar

Azmat-o-Izzat-e-Sadat Bhula Di Bhai
Aag Khaimon Mein Laeenon Ne Laga Di Bhai
Masnad-e-Ahmad-e-Mursal Bhi Jala Di Bhai
Taziyanon Se Hai Abid Ko Saza Di Bhai
Ghash Mein Hai Pada Mera Dilbar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Hazrat Abbas, Sayyida Zainab, Imam Hussain, Ali Akbar, Bibi Sakina, Imam Zainul Abidin, Prophet Muhammad
Occasion
Muharram, Ashura, Shaam-e-Ghareeban
Themes
Sayyida Zainab lamenting for Hazrat Abbas, Martyrdom of Ali Akbar, Burning of the tents and captivity
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.