Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Abbas Chale Aao

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduHazrat AbbasMuharram
Abbas Chale Aao is an Urdu lament calling for Hazrat Abbas to return to the tents of Karbala. The text mourns Imam Hussain’s losses and anticipates the suffering of Sayyida Zainab and Imam Zainul Abidin.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide
Category
Noha
Occasion
Muharram, Ashura
Original
Urdu

Lyrics

Abbas Chale Aao Lyrics

WA

Abbas Chale Aao

Kya Chain Se Sote Ho Dariya Ke Kinare Par
Chhod Aaye Sakina Ko Ho Kis Ke Sahare Par
Dar Par Hai Khadi Kab Se Lagaye Hue Woh Aas

Hai Yun To Shah-e-Deen Ne Maqtal Ki Raza De Di
Kis Tarah Uthaenge Mayyat Ali Akbar Ki
Bhai Ki Zaeefi Ka Zara Kuch Karo Ehsaas

Shabbir Ki Nazron Mein Tareek Zamana Hai
Uljha Hua Barchhi Mein Akbar Ka Kaleja Hai
Humshakl-e-Nabi Ka Bhi Adoo Ne Na Kiya Paas

Khaimon Mein Rawan Har Su Ek Aag Ka Dariya Hai
Aur Pusht Pe Zainab Ki Beemar Bhatija Hai
Aulaad-e-Payambar Ka Adoo Ne Na Kiya Paas

Kuch Tum Ko Khabar Bhi Hai, Kya Yeh Hai Pata Tum Ko
Khati Thi Tamache Aur Deti Thi Sada Tum Ko
Durron Se Bujhayi Gayi Masoom Ki Jab Pyaas

Sunte Hain Ke Zainab Ke Baazu Mein Rasan Hogi
Darbar-e-Sitam Hoga, Sar-Nange Behan Hogi
Aankhon Se Lahu Royenge Sajjad Basad-e-Yaas

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Hazrat Abbas, Bibi Sakina, Imam Hussain, Ali Akbar, Sayyida Zainab, Imam Zainul Abidin
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
Call for Hazrat Abbas, The suffering of Sakina and Zainab, Captivity after Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.