Skip to content
AzadariVerse
AzadariVerse

Noha

Abbas Ke Seene Mein Rahi Hasrat-e-Paikaar

Anjuman-e-Zulfiqar-e-Haidery

Urdu
UrduHazrat AbbasMuharram
Abbas Ke Seene Mein Rahi Hasrat-e-Paikaar is an Urdu Noha alternating between the voices of Imam Mahdi and Hazrat Abbas. It recalls the seventy-two martyrs and the suffering in Karbala.Read moreShow less
Lyrics DetailsTap to viewTap to hide

Lyrics

Abbas Ke Seene Mein Rahi Hasrat-e-Paikaar Lyrics

WA

Abbas Ke Seene Mein Rahi Hasrat-e-Paikaar
Ghaibat Mein Yeh Kehta Hai Bahattar Ka Azadaar

[Imam-e-Zamana (AS)]
Main Aaunga Asghar Ka Lahu Rukh Pe Saja Kar
Akbar Ke Kaleje Se Kaleje Ko Laga Kar
Main Aaunga Abbas Ke Haathon Ko Utha Kar
Mahdi Ki Madad Kijiye Ya Haider-e-Karrar

Main Apne Qadam Zulm Ki Gardan Pe Dharunga
Main Adl-e-Ilahi Se Zamane Ko Bharunga
Har Dushman-e-Shabbir Ko Main Qatl Karunga
Hoga Woh Fana Jo Bhi Karega Mera Inkar

Saf Bandhe Hue Nehr Pe Ek Fauj Khadi Thi
Seene Mein Ajab Karb Tha Aur Tishna-Labi Thi
Abbas Ko Ladne Ki Ijazat Na Mili Thi
Woh Qarz Utaregi Faqat Ab Meri Talwar

Abbas Ke Seene Mein Rahi Hasrat-e-Paikaar

[Maula Abbas (AS)]
Main Subh Se Laashon Ki Taraf Dekh Raha Hoon
Zalim Hai Har Ek Tegh-Ba-Kaf Dekh Raha Hoon
Har Dushman-e-Shabbir Ki Saf Dekh Raha Hoon
Aaqa Mujhe Ladne Ki Raza Dijiye Ek Baar

Aaqa Nahi Jeene Ki Tamanna Mere Dil Mein
Hai Aap Ko Maloom Hai Kya Kya Mere Dil Mein
Aankhon Mein Lahu Hai Mere Darya Mere Dil Mein
Jab Aun-o-Muhammad Nahi Yeh Zeest Hai Bekaar

Kehta Hai Bahut Josh Se Yeh Sani-e-Haider
Mil Jaye Ijazat To Khulen Jang Ke Jauhar
Le Aaun Sakina Ke Liye Nehr Utha Kar
Ta Hadd-e-Nazar Hukm-e-Imamat Ki Hai Deewar

Yeh Nehr Pe Ja Kar Kaha Ae Shah-e-Madina
Bachchon Ki Sadaon Se Phatta Jata Hai Seena
Darya Mere Qabze Mein Hai Pyasi Hai Sakina
Main Kya Karun Haathon Mein Nahi Hai Mere Talwar

[Imam-e-Zamana (AS)]
Ghaibat Mein Yeh Kehta Hai Bahattar Ka Azadaar
Ya Fatima Sadiyon Se Meri Tegh Hai Pyasi
Girya Se Hila Diya Jaye Ab Arsh-e-Ilahi
Shabbir Ke Laashe Ko Uthata Nahi Koi
Bas Izn-e-Zahoor Aap Dila Dijiye Ek Baar

Kehta Hai Qamar Aaunga Paikaar Ki Khatir
Taskeen-e-Dil-e-Ahmad-e-Mukhtar Ki Khatir
Ladna Hai Mujhe Abid-e-Beemar Ki Khatir
Aankhon Mein Hai Maujood Mere Shaam Ka Bazaar

Details

Lyrics Details

Category
Noha
Personalities
Hazrat Abbas, Imam Mahdi, Imam Hussain, Imam Ali, Ali Asghar, Ali Akbar, Bibi Sakina, Imam Zainul Abidin, Sayyida Fatima Zahra, Prophet Muhammad
Occasion
Muharram, Ashura
Themes
The longing of Hazrat Abbas for battle, The awaited justice of Imam Mahdi, Thirst and grief in Karbala
Original language
Urdu

Privacy preferences

Essential site features remain available regardless of your decision.

This control does not grant advertising consent. You can change your analytics choice at any time using “Privacy choices”.Privacy Policy.